"DAJJAL KA FITNAH"
Qayamat ki aham alamaat me se ek alamaat dajjal ki aamad hai, Jiska zahoor abhi nahi hua hai. Lafz "DAJJAL" ka matlb hai "Maslat karne wala", Jo jhooth bol kar sach ko chupata hai, "jaalsaaz", jo dhokha dene me maharat hasil kiya hua hai, "Farebi, Thag, Makkar" jo apne fareb se dimag par kabza karata hai, "Dagabaz", "Behrupiya", jo apna roop badal kar logo ko jhuth or sach ke bich ke fark ko khatam kar dega, log uske jhuth ko sach samajhege, "Jhutha", dajjal ka matlb ek bhot bada jhuth bolne wala, jo puri zameen ko fareb, bewafai, riyakari or ghamand se fitne barpa karta hai. Wo zameen par har ilaqe me safar karega. Wo beniyazi taur par ek azeem "jaalsaaz" hoga jo apni shayatani chalon se logon ko bure rasta ikhtiyar karne par majboor karega. Dajjal duniya ka sabse bada fitna hoga.
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,"Paidaish-e-Adam A.S se ta Qayamat Dajjal se bada koi muamla (fitna) nahi hai."
[Sahih Muslim: 2946]
Hazrat Isa عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ ki tarah dajjal ko bhi maseeh kaha gaya. Hazrat Isa عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ ke hath phairne se beemar tandurust ho jaate the isliye unhe maseeh kaha gaya. Dajjal ki ek aankh kaani hogi fir bhi wo duniya me sirf 40 din reh kar wo fitne fasad karega, logon ko apni baaton se gumrah karega, unke imaan se dagmagane ki har mumkin koshish kareega, ye wajah ho saki hai uske maseeh kehlane ke piche. Al-Huda or Dajjal ko Maseeh al-Zalala kaha jata hai.
"Aur mere mutaliq suno main Maseeh Dajjal hoon, anqareeb mujhe khurooj ki ijazat di jayegi aur main 40 dino mein puri Roo-e-Zameen ko fatah kar loonga albata Makkah aur Taiba (Madina) mujh par haram kar diye gaye hai agar main is ki taraf rukh karoon to wahan talwar lahrate farishte mujhe rok denge jo wahan pahre par muqarar honge."[Musnad Ahmad:12977]
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Qayamat se pehle 30 chhote dajjal paida honge.
[Musnad Ahmad: 12453 Sahih]
Kya Rasool Allah ï·º Ne Dajjal ko dekha Hai?
RASOOL'ALLAH ï·º ne Dajjal ke is duniyawi wajood ke khatme ki taraf peshngoi ki thi, yani qayamat se pehle Dajjal ka zahoor hoga. Isra ki raat Rasool ALLAH ï·º ko Dajjal dikhaya gaya tha.
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Shab-e-Mairaj me maine Moosa عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ ko dekha wo gandumi rangat, daraz qad, aur ghunghrale balon wale the. Aisa lagta tha jaise Qabeela Shanwah ka koi shakhs ho aur maine Isa عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ ko dekha jo darmiyan qad, mayane Jism, Surkh-o-Safaid Rangat aur Seedhe baalon wale the. Maine Jahanam ke darogah Malik ko bhi dekha aur Dajjal ko bhi dekha. Minjumla in aayaat ko (dekha) jo ALLAH Ta’ala ne mujhe dikhai thi (Surah Sajda mein isi ka Zikr hai). Lihaza Aap ï·º ne in se mulaqat ke baare me kisi qisam ka shak-o-shubha na karein."[Sahih Bukhari:3239, Sahih Muslim:419]
Dajjal ki haisiyat Kya Hai?
Dajjal ke paas jo bhi taqat hogi wo sab ALLAH ki taraf se aazmaish ke liye hogi, warna dajjal ki hasiyat ALLAH ke samne macchar ke parr ke barabar bhi nahi. Duniya me jo bhi hai ALLAH ki marzi se hai. Dajjal hame kisi tarha ka koi nuksan nahi pahuncha sakegaa. Wo sirf hame darayega, bas jo imaan par hoga wo uske fitno se bach jayega or jo imaan par nahi hoga uski azmaish ka zariya ban jayega.
Hazrat Mugheera bin Shoba رضي الله عنه farmate hain ke dajjal ke baare mein jitna Nabi-e-Kareem ï·º se maine pucha hai itna kisi ne nahi pucha aurAap ï·º ne mujh se farmaya: "Isse tumhe kya nuqsan pohanchega?"Maine arz kiya ke log kehte hai ke is ke sath rotion ka pahad aur paani ka darya hoga.Farmaya: "Wo ALLAH par is se bhi ziayda asan hai. (yaani qudrat ilahi ke muqable me dajjal ki kya hasiyat? aur dajjal ko bhi ALLAH Ta’ala he ne ye dheel di hogi taake logon ki azmaish ho.)"
[Sahih Bukhari:7122]
Dajjal Kaisa Dikhega?
Dajjal ek aankh se andha hoga (baayin aankh se kaana hoga), jabke uski dusri aankh tairte angoor ki tarha hogi. Uska qad chhota, mota, andar ki taraf mude hue tedhi tangon wala, Ghane baalon wala, intahai safaid aur chamakdar (rangat) wala hoga. Is ka sir afee saanp jaisa (chota magar khub muthariq) hoga. Kubdepan ki wajah se jhuka hua hoga.Uski aankhon ke darmayan kafir likha hoga jise har musalman padh sakega khuwah wo padha likha ho ya anpadh ho.
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,"Mai soya hua (khwab me) kaaba ka tawaf tha to ek saahab jo gandam goh (redish white) the or unke sir ke baal sidhe the or sir se paani tapak raha tha (unpar meri nazar padi) maine pucha ye kon hain?Mere sath ke logon ne bataya ye Isa ibn Mariyam عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ hain. Phir maine mud kar dekha to ek mote (fat) shaks par nazar padi jo surkh (red complexion) tha uske baal ghunghrale the, ek aankh ka kaana tha, uski ek aankh angoor ki tarha uthi hui thi. Logon ne bataya ke ye Dajjal hai. Iski surat 'Abd al-Uzza Ibn Qatan' se bhot milti hai.[Sahih Bukhari:7128]
Dajjal Dayien Aankh Ka Kaana Hoga
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Main tumhe aise baat batata hoon jo doosre Ambiya ne nahi batai wo (Dajjal) kaana hoga jabke tumhara Rab kaana nahi."[Sahih Bukhari:7127]
"Dajjal ki dayien aankh kani aur angor ke daane ki tarah ubhri hui hogi."[Sahih Bukhari:7123]
"Dajjal ki ek aankh sabz sheeshe ki tarah hogi."
[Masnad Ahmad:3309 Sahih]
Dajjal Ki Aankho Ke Darmiyan Lafz Kafir
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Har Nabi ne apni Ummat ko kaane aur jhoote (Dajjal) se daraya hai, khabardar wo kaana hai halanke tumhara Rab kana nahi. is (Dajjal) ki aankhon ke darmayan kafir likha hoga."[Sahih Bukhari:7131]
"Dajjal kana hai, is ki aankhon ke darmayan kafir likha hoga phir Aap ï·º ne hijja kar ke bataya (kaaf, faa, raa) jise har musalman padh sakega."[Sahih Muslim:7365]
"Dajjal bayien aankh moti hogi, uspar moti si jhilli hogi or uski aankhoke darmiyan 'kafir' likha hua hoga, har padha-likha or anpad momin use padh lega."[Musnad Ahmad:13004]
Dajjal Ka Sir Zehrile Saanp (Snake) Ki Tarha
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Dajjal kaana, uska rang intehai safed hoga, uska sir foonk se maar daalne wale saanp (snake) ki tarha hoga. Wo logon me se Abdul Uzza bin Qatan (kafir) ke sath sab se ziada mushahbat rakhta hoga."[Masnad Ahmad: 12997 Sahih]
Dajjal Ghane Baal (Hair) Wala
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Dajjal baayien aankh se kaana hoga, Ghane baalon wala hoga aur is ke saath jannat (bagh) aur aag hogi. Iski aag (darhaqeeqat) jannat hai aur is ki jannat (darasal) aag hai."
[Sahih Muslim: 2934]
Dajjal Kubda (Hunch Back) Hoga
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Dajjal kaana hoga, peshani par baal thode honge, gardan moti hogi, kubdepan ki wajah se jhuka hua hoga."
Ye sun kar Hazar qatan ra ne kaha: Aye ALLAH ke rasool! Kya uske sath meri mushabahat mere liye nuksaandeh to nahi hogi?
Aap ï·º ne farmaya: Nahi-nahi, tum musalman ho, wo kafir hoga."
[Musnad Ahmad: 4031]
Dajjal Ek Pasta Qad (Dwarfish) Aadmi
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Maine tumhe Dajjal ke baare mein khabar di hai aur mujhe khadsha hai ke tum ise pehchan naa sakoeg. Maseeh Dajjal ek pasta qad hoga, chalne me uske dono paaon (leg) ke bich fasla hoga, uske baal ghughrale honge, kaan (ear) hoga, aankh miti hogi na ubhari hogi or na andar ghusi hogi phir bhi agar tumhe is ke baare me Shak-o-Shubha ho to khoob jaan rakho ke tumhara Rab to kaana nahi hai."
[Abu Dawood: 4320 Sahih]
Hazrat Fatima bint Qais رضي الله عنه (Ek taveel hadees mein jo mutasil baad mein mazkor hai) farmati hai ke: "………. main (Dajjal ka) jasoos hon tum is sunsan jaga ki taraf chalo jahan ek aadmi tumhare khabar ka mushtaq hai to wo sab wahan gaye aur kehte hai ke wahan hum ne itna bara aadmi dekha ke waisa qad awar magar (lohe ki zanjeeron se) jakra huwa aadmi pehle kabhi nahi dekha tha."
[Sahih Muslim:2942]
Dajjal Kahan Hai?
Nabi-e-Kareem ﷺ ne bataya ke Dajjal ek aadmi hai jo Darya-e-Shaam me ya darya-e-yaman mein mashrik ki taraf ek jazeere me janzeeron se bandha hua hai. Dajjal zinda hai jise ALLAH ke siwa koi nahi janta. Jabke geologist ne kurra arzi ka chappa-chappa chaan kar ise chote chote sehron me baat diya magar inhe kahi bhi dajjal nahi dikha, Jabke hadees ke mutabik dajjal ek insan hai jo zinda hone ke sath kurra arzi par kisi jazeere me lohe ki zanjeeron se qaid hai jaisa ke Hazrat Tameem Dari رضي الله عنه aur degar logon ne kisi jazeere me is se mulaqat ki aur Nabi-e-Kareem ﷺ ne inki dajjal se mulaqat ki na sirf tasdeeq farmai balke tamam Sahaba Karaam رضي الله عنه ko jama kar ke is mulaqat ka ajeeb-o-ghareeb waqia khud inke bataya.
Hazrat Fatima bint Qais رضي الله عنه farmati hai ke Nabi-e-Kareem ï·º Namaz se farigh ho kar mimber per tashreef laye aur muskurate huwe farmaya ke har banda apni jaye Namaz par baitha rahe phir kaha, kya tumhe ilm hai ke maine tumhe kyon jama kiya hai?Logon ne kaha: ALLAH aur is ka Rasool hi behter jante hain.Aap ï·º ne farmaya: "Qasam ALLAH ki maine tumhe targheeb-o-tarheeb (wa’az-o-naseehat) ke liye ikatha nahi kiya balke is liye jama kiya hai ke tameem daari jo Isaai tha wo meri bait kar ke daiyra islam mein dakhil ho chuka hai is ne mujhe Maseeh Dajjal ke bare me waise hi khabar di jaise main tumhe diya karta hoon.Is ne kaha hai ke wo lakham aur jazaam Qabeele ke 30 aadmion ke sath behri jahaz me sawar tha ke maheena bhar bahri mojien in ki kashti se khailti raheen hatta ke in ki kashti maghrib ki taraf ek jazeera par ja lagi phir wo ek choti kashti par sawar ho kar jazeera me ja utre jahan inhe ghane balon wala aisa janwar mila jis ke mooh (mouth) ya dum ki shanakht na mumkin thi.Unhone pucha: Tu kon hai?Janwar ne kaha: Main jasoos hoon.Unhone kaha: Kis ka jasoos?Is ne kaha: Is shakhs ki taraf chalo jo "deer" me tumhare khabar ka mushtaq hai.Tameem رضي الله عنه ne kaha ke jab janwar ne is shakhs ka naam liya to hum dare ke kaheen yeh Shaitan na ho.
Tameem رضي الله عنه ne kaha ke phir hum taiz taiz chalte huye deer (sunsan jaga) mein dakhil huwe to wahan hum ne itna bada insan dekha ke waisa qadawar magar jakra hua Aadmi kabhi na dekha tha. Is ke dono hath gardan ke peeche aur paon takhno ke sath mazboot lohe se bandhe huye the.
Hum ne kaha: kambakht! tu koun hai?Is ne kaha: Meri khabar to hasil kar hi loge ye batao ke tum koun ho?logon ne kaha: Hum Ahle Arab hai aur Ek samandri jahaz mein mahav e safar the ke samandar me tughyani aa gai jis ki wajah se maheena bhar humara jahaz mojon ka shikar raha phir hum is jazeera ke qareeb pohanche to ek choti kashti mein baith kar is jazeere me dakhil huye to hume (ye) janwar mila jis ke balon ki kasrat ki waja se moonh ya pusht maloom nahi hote thi hum ne is se pucha kambakht tu koun hai?To is ne kaha, Main jasoos hoon tum is deer mein mojood aadmi ki taraf chalo wo tumhari khabar ka bada mushtaq hai tou hum jaldi se tumhare taraf chale aaye aur hum to is (janwar) ko Shaitan samajhte hain.
Dajjal ne kaha: Mujhe besaan (shaam) ke nakhlistan ki khabar do?Hum ne kaha: Iski kounsi khabar matloob hai?Is ne kaha: Kya darakht (trees) phal lata hai?Hum ne kaha: Haan.Isne kaha anqareeb wo phaldar nahi rahega.Achcha mujhe bahar-e-tibriya ki khabar do?Kya is me paani rawa dawa hai?Humne kaha: Haan khub rawan dawan hai.Isne kaha ke anqareeb wo khushk ho jayega.Isne kaha mujhe zaghar (Shaam) ke chashme ke mutaliq batao, kya is mein paani mojood hai aur kya log is ke paani se khaiti-bari karte hain?Hum ne kaha: Haan is me paani bhi mojood hai aur log is ke paani se khaiti-bari kar rahe hain.Isne kaha: Mujhe Arab ke Nabi ki khabar do?Hum ne kaha: Wo Makkah se hijrat kar ke Yasrab (madina) ja pohancha hai.Isne kaha: Kya Ahle Arab ne isse ladai ki hai?Hum ne kaha: Haan.Isne kaha: Phir nateeja kya raha?Hum ne kaha: Wo Nabi apne gird-o-paish me ghalib aa chuka hai.Isne kaha: Kya waqye aisa ho chuka hai?Hum ne kaha: Haan.Isne kaha ke logon ke liye iski itaat hi behter hai. Aur mere mutaliq suno main Maseeh Dajjal hoon, anqareeb mujhe khurooj ki ijazat di jayegi aur main 40 dino mein puri Roo-e-Zameen ko fatah kar loonga albata Makkah aur Taiba (Madina) mujh par haram kar diye gaye hai agar main is ki taraf rukh karoon to wahan talwar lahrate farishte mujhe rok denge jo wahan pahre par muqarar honge.
Nabi Kareem ï·º ne apna Aasa mimber par 3 martaba takrate huye farmaya: "Yahi Tayiba (Madina) hai. (aur wo Dajjal hai) kya main tumhe is ke baare mein bataya nahi karta tha?"logon ne kaha: Kyun nahi.Phir Aap ï·º ne farmaya ke: "Mujhe Tameem ki baat is liye acchi lagi ke ye meri is khabar ke mushabeh hai jo maine tumhe Dajjal aur Makkah-o-Madina ke baare me bataya karta tha."
Khabardar! Wo (Dajjal) Darya-e-Shaam me ya darya-e-yaman mein hai? Nahi balke wo mashriq ki taraf hai, wo mashriq ki taraf hai, wo mashriq ki taraf hai aur Aap ï·º ne mashriq ki taraf apne haath se bhi ishara farmaya."[Sahih Muslim:2942, Abu Dawood:4325, Jame Tirmizi:2235, Musnad Ahmad:12976,12977]
Qayamat Ki Dusri Nishani Kya Hai?
Qayamt ki 10 badi nishaniya hai, jinme Dajjal ka khurooj dusri nishani hai. Qayamat se pehle 30 chhote dajjal paida honge. Jinme se kuch nazil ho chuke hai or kuch abhi baaki hain, unke baad Dajjal ka khurooj hoga.
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,"Qayamat us waqt tak qayam na hogi jab tak1. Do Azeem jamatein jung na karegi in dono jamaton ke darmiyan badi khoon-rezi hogi halanki dono ka dawah ek hi hoga (yani ek hi mazhab ko maane wale honegy )2. Yahan tak ki bahut se chote dajjal bheje jayenge taqreeban 30 Dajjal unmein se har ek dawah karega ki wo ALLAH ka Rasool hai.3. Yahan tak ki ilm utha liya jayega.4. Zalzalon ki kasrat hogi.5. Zamana kareeb ho jayega (Waqt bhot tezi se guzrega)6. Fitne zahir ho jayenge7. Harj bad jayega harj yani Qatl.8. Yahan tak ki tumhare pass maal ki kasrat ho jayegi yahan tak ki parhzigar aur Sahab-e-maal ko ye fikr hone lag jayegi ki uska sadqa kaun qubul karega aur yahan tak ki wo (sadqa) pesh karega magar jiske samne pesh karega wo kahega ki mujhe iski jarurat nahi.9. Yahan tak ki log badi badi imaraton mein aapas mein fakhr karenge , ek se ek badkar imaratein banayenge,10. Yahan tak ki ek shaksh dusre ki kabr par se guzrega aur kahega ki kaash main bhi isi jagah hota.11. Yahan tak ki suraj maghrib se nikal jayega , jaise hi wo (suraj) is tarah tulu hoga aur log dekh lenege to sab log Imaan le aaayenge lekin ye wo waqt hoga jab kisi aise shaksh ko iska imaan lana fayda na dega jo pahle se imaan na laya hoga aur usne apne imaan ke saath achche kaam na kiye hon.Qayamat achanak is tarah qayam ho jayegi ki do aadmiyon ne apne darmiyan kapda phaila rakha hoga ise abhi bech bhi na paaye honge aur na hi lappet paye honge , aur qayamat is tarah aa jayegi ki ek shaksh apni oontni ka doodh nikal kar wapas hua hoga aur abhi use pee bhi nahi paya hoga , aur qayamat is tarah qayam ho jayegi ki wo apne hauz ko durast kar raha hoga aur abhi usmein se paani bhi nahi pee sakega aur Qayamat is tarah qayam ho jayegi ki usne apna luqma munh ki taraf uthaya hoga aur abhi use khaya bhi nahi hoga.[Sahih Bukhari: 7121]
Hazrat Huzaifa bin Aseed Ghifari رضي الله عنه farmate hain ke Nabi-e-Kareem ﷺ tashreef laye jabke hum aapas mein guftugu kar rahe the. Aapﷺ ne pucha: kya guftugu kar rahey ho?logon ne kaha: Hum Qayamat ke baare me guftugu kar rahe hain.Aap ﷺ ne farmaya: Qayamat hargiz qayem nahi hogi jab ke tum Qayamat se pehle 10 nishanian na dekh lo phir aap ne (inhe) bayan farmaya:
1. Dhuwan ka2. Dajjal ka3. Zameen ke janwar ka4. Suraj ka maghrib (west) se nikalna hona,5. Hazrat Isa A.S ka nazool,6. Yajooj Majooj ka Khurooj,7. Teen (3) jagah khushki ka yaani zameen ka dhasna, Pehla-Mashriq,8. Dusra Maghrib me9. Tisra Jazeera tul Arab me10. Aur sab se aakhir me yaman se aag niklegi jo logon ko Maidan-e-Mehshar ki taraf haank le jayegi.”
[Sahih Muslim:2901]
"Qayamat tab tak qayam nahi hogi jab tak takriban 30 jhoothe dajjal paida na ho lein."
[Sahih Bukhari:3609]
Duniya Ka Sabse Bada Fitna Kya Hai?
Duniya ka sabse bada fitna dajjal ka fitna hai jisse har nabi ne apni ummat ko Dajjal se daraya hai. Aap ï·º khud bhi dajjal ke Fitne se panah mangte the aur logon ko bhi dajjal ke Fitne se panah mangne ki talqeen karte the. Jab wo (Dajjal) khurooj karega tou is ke sath 2 wadian hongi ek Jannat aur doosri Aag hogi is ki Aag to Jannat hogi magar is ki Jannat Aag hogi. Iske sath do farishte bhi honge amzaish ke liye. Duniya ke har ek kone me dhoomne ke baad Dajjal Madina ki taraf badhega magar ise Madina mein dakhle ki ijazat nahi milege to wo kahega ye fulaan Aadmi (ï·º) ki basti hai phir wo Shaam ki taraf chala jayega aur ALLAH aafeeq ki ghaati ke paas (Baab Ludd par) Dajjal ko Hazrat Isa عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ halak karenge.
"Jo bhi Nabi maboos huwa is ne apni ummat ko kaane kazaab (dajjal) se zaroor daraya hai.
khabardar! wo kana hai aur tumhara Rab kana nahi hai aur is ki aankhon ke darmayan kafir likha hoga."
[Sahih Bukhari: 7131]
"Dajjal ka fitna ek aisa fitna hai ke har nabi ne apni ummat ko isse khabardaar kiya."
[Musnad Ahmad: 3302]
"Tum Maseeh Dajjal ke fitne se ALLAH Ta'ala ki panah talab karo."
[Musnad Ahmad: 3302]
Hazrat Huzaifa رضي الله عنه farmate hai ke ALLAH ke Rasool ﷺ ke paas Dajjal ka Zikr kia gaya to Aap ﷺ ne farmaya,"Fitna Dajjal ki banisbat tumhare wehmi fitna fasad ka mujhe ziyada khauf hai (ke tum zaroor wehmi fitna-o-fisaad barpa karoge) guzashta logon me se jo koi is Fitne se mehfoz raha wo darasal mehfoz hai aur aaj tak duniya me jo koi chota ya bada fitna raunuma hota hai wo Dajjal ke Fitne ki waja se hai."
[Musnad Ahmad: 12971 Sahih]
"Jo shakhs 3 (hadsaat ke) maukon par mahfoz raha wo nijaat pa gaya. Aap ï·º ne yeh baat 3 baar duhrai. (phir farmaya).
i. Meri Maut,
ii. Dajjal,
iii. Deen-e-Haq par qayam fayaaz khaleefa ka qatal.
[Musnad Ahmad: 9597 Sahih]
Hazrat Safeena رضي الله عنه jo Aap ﷺ ke ghulam the bayan karte hai ke ALLAH ke Rasool ﷺ ne hame khutba diya to farmaya,
"Khabardar mujhse pehle har Nabi ne apni ummat ko Dajjal se daraya hai wo baayien aankh se kaana hoga jabke daayien aankh par gosht ubhra hoga aur dono aankhon ke darmayan kaafir likha hoga.
Jab wo khurooj karega to is ke sath 2 wadian hongi ek Jannat aur doosri Aag hogi is ki Aag to Jannat hogi magar is ki Jannat Aag hogi.
Is ke sath 2 farishte honge jo do Nabiyon ke roop me honge, agar main chahon to inke aur inke aabaa ke naam bhi bata sakta hoon. Ek is (Dajjal) ke dayien taraf aur doosra baayien janib hoga aur ye Aazmaish ke liye honge.
Dajjal kahega. (logo!) kya main tumhara Rab nahi?
Kya main tumhe Zinda nahi karta, maut nahi deta?
To ek farishta kahega tu jhoot bolta hai magar is (frishtay) ki baat doosre farishtee ke siwa aur koi nahi sunega aur is ka sathi farishta jawab mein kahega haan teri baat sacchi hai (ke yeh jhoota hai, Rab nahi) log is farishte ki baat sunenge to ye samjhenge ke shayad ye dajjal ko sacha keh raha hai (halanka doosra farishta pehle farishte ki is baat, ke dajjal jhoota hai, ki tasdeeq kar raha tha) aur ye azmaish hogi.
Phir Dajjal Madina ki taraf badhega magar ise Madina mein dakhle ki ijazat nahi milege to wo kahega ye fulaan Aadmi (ï·º) ki basti hai phir wo Shaam ki taraf chala jayega aur ALLAH aafeeq ki ghaati ke paas (Baab Ludd par) Dajjal ko Hazrat Isa عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ halak karenge."
[Musnad Ahmad 281/5]
"Dajjal nikalne wala hai, is ki baayien aankh kaani hogi jis par sakht lothra hoga aur wo kodh aur barss ke mareez ko tandrust kar dega, murde ko zinda kar dikhayega aur logon se kahega ke Main tumhara Rab hoon.
Jis Shakhs ne iqrar kiya ke tu mera Rab hai wo to Fitne me mubtala hua aur jis Shakhs ne kaha ke mera Rab ALLAH hai hatta ke is par jaan qurban kar gaya to wo Dajjal ke Fitne se bacha lia gaya aur ab is par koi fitna hai na koi Azab hai.
Jab tak ALLAH ki marzi hogi Dajjal Zameen par rahega phir Hazrat Isa bin Mariyam A.S nazil honge jo maghrib ki taraf se aayenge Nabi-e-Kareem ï·º ki tasdeeq karenge aur inke deen (islam) par Qayem honge wo Dajjal ko Qatal karenge aur phir Qayamat qaym honge.
[Masnad Ahmad 19/5]
Dajjal Kon-Kon se Karishme Dikhayega?
Murde ko Zinda karega
Hazrat Abu Saeed رضي الله عنه se marvi hai ke ek din Rasool ALLAH ﷺ ne hume Dajjal ke mutaliq ek taveel Hadees sunai. Aap ﷺ ki hadees me ye bhi tha ke Dajjal ayega aur iske liye na mumkin hoga ke wo Madina ki ghation (raston) me dakhil ho sake chunache wo Madina munawra ke qareeb ek shor zada zameen par qayam karega.Phir is din is ke paas ek mard-e-momin jayega jo afzal tareen logon mein se hoga aur wo dajjal se kahega ke main shahadat deta hoon ke tu wohi dajjal hai jis ke bare mein ALLAH ke Rasool ﷺ ne hume hadees bayan farmayi thi.
Dajjal (logon) se kahega: Agar main is shakhs ko qatal kar doon aur phir zinda kar dekhaon to kya phir bhi tumhe mere (Rab hone ke) muamle me Shaq hoga?log kaheinge: Nahi.Chunache wo is shakhs ko qatal kar dega aur phir zinda kar dega. Ab wo shakhs kahega ke Wallah mujhe tere baare me pehle itni baseerat na thi jitni ab aa chuki hai (ke tu waqai dajjal hai) is par dajjal phir ise qatal karna chahega magar is martaba wo ise maar nahi sakega."
[Sahih Bukhari: 7132]
Dajjal Rotion ke pahad or paani ki nahar banayega
Hazrat Mugheera bin Shoba رضي الله عنه farmate hai ke Dajjal ke baare me Jis qadar sawalaat maine Nabi Kareem ï·º se pucha hai aur kisi ne nahi puche (to) Aap ï·º ne muje kaha: "tumhe is se kya khatra hai?Meine arz kiya ke log kehte hai ke is ke paas rotion ka pahaar aur pani ki naher hogi?Farmaya ke wo ALLAH Ta’ala par is se bhi (kai darja) asaan hai."
[Sahih Bukhari: 7122]
"Dajjal ke pass rotiyon ka pahad hoga."
[Musnad Ahmad: 13013 Sahih]
Dajjal Barish barsayega
Hazrat Nawas bin Sam’aan رضي الله عنه se marvi hai ke ek subah Nabi-e-Kareem ï·º ne Dajjal ka tazkara kia to ise haqeer aur is ke Fitne ko azeem kaha (ya kabhi unchi aur kabhi ahista baat ki) hatta ke hume guman hua ke shayed Dajjal in darakhton ke jhand me aa gaya ho phir hum bewaqt shaam aap ki taraf gaye to Aap ï·º ne pucha kya majra hai?
Usne arz kiya ke Aap ne dajjal ke baare me acchi tarah agah kiya tha aur hum samjhe ke Shayad wo isi nakhlistan mein hai.
Aap ï·º ne farmaya: "Mujhe Dajjal se badh kar fitno ka tum par andesha ho sakta hai?
Agar Dajjal mere jite ji nikla to main is ke darmiyan rukawat ban kar tumhe is ke sharr se bacha loonga aur agar wo mere baad zahir hua to tum mein se har ek shakhs bazat-e-khud is ke khilaf hujjat hoga aur ALLAH Ta’ala har musalman par mera khaleefa aur nigehban hoga.
Dajjal ek ghunghraale baalon wala noujawan hai jiski ek aankh ubhri hogi aur wo Abdul Uzza (kafir) ke mushabhe hoga lihaza jo shakhs bhi tum mein se Dajjal ko dekhe wo Surah al Kahaf ki ibtadai ayat ki tilawat kare. Dajjal Shaam aur iraq ke darmayan raighistani raaste se kharij hoga aur dayien bayien fitna fisaad barpa karega.
Aye ALLAH ke bando! Iman par sabit qadam rehna.
Sahaba "Jo bhi Nabi maboos huwa is ne apni ummat ko kaane kazaab (dajjal) se zaroor daraya hai.
khabardar! wo kana hai aur tumhara Rab kana nahi hai aur is ki aankhon ke darmayan kafir likha hoga."
[Sahih Bukhari: 7131]
Sahaba رضي الله عنه ne pucha ke Dajjal kitna arsa Zameen par qayam karega?
Aap ï·º ne farmaya: 40 din jin mein se ek din ek saal ke barabar, ek din maah barabar, ek din hafte ke barabar hoga. Phir baaki din aam dino jaise honge. (yaani ek saal 2 maah aur 2 hafte).
Sahaba رضي الله عنه ne arz kia yaa RasoolALLAH ﷺ! Jo din saal barabar hoga is mein hum Namazien kaise ada karenge?
Kya ek he din ki Namazien hume kaafi hongi?
Aap ï·º ne farmaya: Nahi balke tum is (saaal) ka (Aam dino ke sath) andaza kar lena.
Sahaba رضي الله عنه ne arz kia ya RasoolALLAH ﷺ is ki chaal dhaal kaisi hogi?
Aap ï·º ne farmaya: Is barish ki tarah jise hawa peeche se dhakailti hai.
Phir wo ek qaum ke paas jaa ke inhe kufr ki dawat dega, jise wo qabool kar lenge to wo aasman ko hukm dega aur aasman barish barsayega, phir wo zameen ko hukm dega to zameen anaaj ugayegi jin par inke janwar charenge jin ke kohaan pehle se unche, thun pehle se kushada aur kookhien khoob phooli honge.
Phir Dajjal ek qoam ke paas aa kar ise kufr ki dawat dega magar wo inkar kar denge to Dajjal inse palat jayega aur wo log qahat aur khushk saali ka shikar ho jayenge hatta ke inke hath mein maal-o-doulat me se kuch na rahega jabke Dajjal banjar aur wiraan zameen par niklega aur ise hukm dega, Aye zameen apne khazane nikal de to zameen ke khanaze is ke paas is tarah jama ho jayenge jis tarah shehad ki makhiyan malka (queen) makhi ke aas paas hujoom karti hain.
Phir Dajjal ek jawan ko bula kar iske 2 tukre kar dalega jis tarah nishana do took ho jata hai phir ise pukarega to wo jawan chamakte dhamakte aur hashaash-bashaash chehre ke sath (Zinda ho kar) iski taraf chala ayega.
Wo (dajjal) is alam me hoga jab ALLAH ta'ala maseeh Hazrat Isa ibne Mariyam عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ ko maboos farma dega. Wo damishq ke hisse me ek safeid minaar ke kareeb do kesri kapdo me do farishton ke kandhon par haath rakhe hue utrenge."
[Sahih Muslim: 2937]
Dajjal Paani or Aag sath rakhega
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Jab Dajjal khurooj karega to iske sath paani (jannat) aur Aag (jahanum) hogi jise log aag samjhien ge wo thanda pani hai aur jise log pani samjhenge wo darhaqeeqat jalane wali aag hai. Agar tum me se kisi ko iska samna ho to wo is me dakhil ho jo Aag dekhai deti hai kyon ke wo darasal thanda pani hai."
[Sahih Bukhari: 3450]
Nabi Hone Ka Dawah Kon Karega?
Dajjal nabi hone ka dawa karega. Jabke hum sab waqif hai ke aakhiri Nabi ALLAH ke rasool ï·º hain. unke baad na koi nabi aaya na ayega.
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,"Qayamat tab tak nahi ayegi, Yahan tak ki bahut se chote dajjal bheje jayenge taqreeban 30 Dajjal unmein se har ek dawah karega ki wo ALLAH ka Rasool hai.[Sahih Bukhari: 7121]
"Meri ummat me 30 dajjal paida honge, unme se har ek ye dawa karega ke wo Nabi hai, halanke mai akhari nabi hoon, mere baad koi nabi nahi aayega."[Musnad Ahmad:12855 Sahih]
"Qayamat us waqt tak nahi aayegi,Jab tak 30 ke kareeb jhuthe Dajjal paida honge. Unme se har ek ka dawah ye hoga ke wo ALLAH ka rasool hai."[Musnad Ahmad:12899 Sahih]
Dajjal Kinka Sardar Hoga?
Qayamat se phle kareeb 30 khazaab niklenge. Sab nabi hone ka dawah karenge or Maseeh Dajjal tamaam Dajjalon aur kazabon ka sardar hoga.
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,"Meri ummat me 30 dajjal paida honge, unme se har ek ye dawa karega ke wo Nabi hai, halanke mai akhari nabi hoon, mere baad koi nabi nahi aayega."[Musnad Ahmad: 12855 Sahih]
"Qayamat se pehle Maseeh Dajjal ka zahoor hoga aur uske alawah 30 ya usse zyadah kazaab bhi ayenge."[Musnad Ahmad: 12978]
Kya Dajjal Ke Bachche (Children) Hain?
Hadees ke mutabik Dajjal ki koi aulaad nahi hogi. Uske shagird uski pairwi kareinge.
Hazrat Abu Sa'id Khudri رضي الله bayan karte hain,"Mujhse Ibn Sa'id رضي الله ne mujhse ek baat kahi to mujhse uske samne sharmindagi mehsus hui.(Usne kaha) Is baat par mai logon ko mazoor samajhta hoon, magar aye sahaba Muhammad ﷺ ! Aap logon ka mere sath kya mau'mla hai?Kya ALLAH ke nabi-e-kareem ne ye nahi farmaya tha: Dajjal yahoodi hoga or mai musalman ho chuka hoon.Kaha: Wo be aulad hoga. Jabke meri aulad hui hai or Aap ﷺ ne farmaya tha: ALLAH ne Makka (me dakhila) us par haram kar diya hai.Aur mai hajj kar chuka hoon."(Hazrat Abu Sa'id Khudri رضي الله ne kaha) Kaha: Wo (Ibn Sa'id رضي الله) musalsal aisi baatein karta raha jinse amkaan tha ke uski baat mere dil me baith jaati, kaha: fir wo kehne laga: ALLAH ki qasam! Us waqt mai ye baat janta hoon ke wo kahan hai, mai uske maa baap ko bhi janta hoon. Kaha us se pucha gaya ke kya tumhe ye baat achchi lagegike tumhi wo(Dajjal) aadmi ho?Usne kaha: Agar mujhe uski peshkash ki jaye to mai use napasand nahi karunga.[Sahih Muslim: 7349]
Hazrat Abu Sa'id Khudri رضي الله bayan karte hain,"Kaha: Makka ki taraf jaate hue (raste me) mera aur Ibn Sa'id ka saath ho gaya.Usne mujhse kaha: Mai kuch aise logon se mila hoon jo samajhte hain mai dajjal hoon.Kya aap ne Rasool ALLAH ﷺ ko farmate nahi suna tha: Uske bachche nahi honge?Maine kaha: KYun nahi.! Suna tha.Usne kaha: Mere bachche hue hain.Kya aap ne Rasool ALLAH ﷺ ko kehte hue nahi suna tha: Wo (Dajjal) Madina me dakhil hoga na mMakka me?Maine kaha: Kyun Nahi!Usne kaha: Mai Madina ke andar paida hua. Aur ab Makka ki taraf ja raha hoon.Phir baat ke akhir me unhon ne mujhse kaha: Dekhein! ALLAH ki qasam! Mai us (Dajjal) ki jaye paidaish , Uske rehne ki jagah or wo kahan hai sab janta hoon."[Sahih Muslim: 7348]
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.