Khurooj-e-Dajjal-2 | Qayamat ki nishani

  
Khurooj-e-Dajjal-2 | Qayamat ki nishani


Khurooj-e-Dajjal-2 | Qayamat ki Nishani



Dajjal Kab Niklega?


Dajjal ka zahoor us waqt hoga jab deeni halat kamzor hogi or ilm uth chuka hoga or jab wo shadeed gusse me hoga.
RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Dajjal is ghusse ke sath khurooj karega jis me wo mubtala hoga."
[Sahih Muslim: 2932]


"Dajjal us waqt niklega jab use shadeed gussa aaya hua hoga."
[Musnad Ahmad:12953 Sahih]

"Dajjal ka zahoor us waqt hoga jab deeni halat kamzor hogi or ilm uth chuka hoga."
[Musnad Ahmad:13013 Sahih]



Dajjal Kahan Se Niklega?


Dajjal ke khurooj ki jagah Kuch Aahadees me khurasan, kuch me mashriq,  kuch me asbahan,  kuch me shaam aur iraq ka darmayani rasta zikar kiya gaya hai. Imam Qurtubi RehmatuLLah farmate hain ke kuch ahadees me hai ke wo khurasan se aayega jabke kuch me hai asbahan se khurooj karega inme tatbeeq is tarah hai ke iske khurooj ki ibtada khurasan ke ilake asbahan se hogi phir wo hijaaz ki taraf rukh karega jis ke liye shaam aur iraq ka darmayani ilaqa istamal karega. Ye ilaqe mashrik ki taraf hain. Isse ye saabit hota hai ke dajjal mashriq ki taraf khurasan ke ilaqe asbahan ke muhalle yahooda se niklega aur hijaaz ki taraf shaam aur iraq ka darmayani registani ilaqe ka safar karega.

RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Khabardar! Wo (dajjal) shaam ya yaman ke samandar me hai. Nahi balke wo mashriq ki tarf hai, wo to mashriq ki taraf hai, wo to mashriq ki taraf hai. Aur Aap ï·º ne apne hath se mashriq ki taraf ishara bhi kiya."
[Sahih Muslim: 2942]


Hazrat Abu bakar Siddiq رضي الله عنه se marvi hai ke ALLAH ke Rasool ï·º ne hume hadees bayan farmai ke Dajjal mashriq ki taraf se ek aise jagah se niklega jise Khurasan kaha jata hai. Iski pairvi karne waali kuch aise Qaumein honge jin ke chehre kooti hue (ya moti) dhalon ki tarah (chapte) honge."
[Sunan Tirmizi: 2237, Ibne Majah: 4123]

Hazrat Nawaas bin Sam’aan رضي الله عنه farmate hai,
"Ek subah ALLAH ke Rasool ï·º ne Dajjal ka Zikr kia…… (phir farmaya ke) wo Shaam aur Iraq ke darmayan registani raaste se niklega."
Sahih Muslim: 2937]

"Dajjal Asbahan ki yahoodiyon ki basti se zahir hoga."
[Musnad Ahmad: 12983]


Dajjal Ke Farmabardar Kon Honge?


Yahoodiyon ka pasandeeda (favourite) leader Dajjal hoga. Iske saath 70 hazar yahoodi honge. Unke chehre dhaal (shield) ki tarha honge aur jismon par hare rang ki persian shawls hongi.

RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Dajjal asbhaan (Isfahan) ke (ilaqe) yahoodah se khurooj karega aur is ke sath 70 hazar yahoodi honge."
[Sahih Muslim: 2944]

"Asbahaan ke yahoodiyon me se 70,000 (Yahoodi) dajjal ki pairvi karenge, Un (ke jismon) tilsan (Persian) ki abayaein (Shawls) hongi."
[Sahih Muslim: 7392]

"Uske (dajjal) ke piche aise log honge jinke chehre dhaal (sheild) ki taha honge."
[Sunan Tirmizi: 2237]

"Dajjal ke saath 70,000 ayhoodi honge, unhon ne sabz (green) rang ki shalein (shawls) daal rakhi hongi."
[Musnad Ahmad: 12983]


Dajjal Duniya Me Kya Karega?


Dajjal ki lapait me aane wale sab se ziyada yahoodi phir ajmi, turki, jahil aurtien aur munafiq-o-kafir honge. Dajjal logon imaan lane ki dawat dega wo is per imaan layenge to dajjal asman ko hukam dega aur asman barish nazil kare ga phir wo zameen ko hukam dega to zameen nabataat ugaye gi…. wo ek banjar zameen ko hukam dega ke wo apne khazane nikal de to wo khazane nikal kar is tarah dajjal ke peche jayegi jis tarah (shahed ki) makhian apni malka ki taraf jati hein. Makkah aur Madina ke siwa har shaher ko Dajjal rond dalega. Khudai aur naboowat ka dawah karega. Logon ko maar ke zindah karega.

Khudaai ka dawa karega


RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Wo (Dajjal) is Za’am (batil) me mubtala hoga ke wo ALLAH hai lihaza jis shakhs ne is par iman la kar iski tasdeeq aur tabedari ki ise iske amaal saleh ka koi faida nahi pohanchega aur jis shakhs ne iska kufr kiya aur ise jhutlaya to isse iske amaal ka bilkul muahza nahi hoga."
[Musnad Ahmad: 22/5]


Nabuwat ka dawah karega


"Bahut se chote dajjal bheje jayenge taqreeban 30 Dajjal unmein se har ek dawah karega ki wo ALLAH ka Rasool hai."
[Sahih Bukhari: 7121]

Logon ko apna farmabardar banayega


Hazrat Nawas bin Sam’aan رضي الله عنه se marvi hai ke ALLAH ke Rasool ï·º ne ek subah Dajjal ka zikr kia…. "Dajjal ek quam ke paas ayega aur inhe (apni ruboobiyat par imaan lane ki) dawat dega to wo log imaan le aayenge aur is ke matee farmaan ho jayenge."
[Sahih Muslim: 2937]

Logon ko qatal karega phir zinda karega


"...Phir wo ek tandurust nojawan ko bulayega aur talwar ke sath is ke 2 tukde kar ke qatal kar dega phir ise awaz dega to wo (zinda ho kar) hashaash bashaash chehre ke sath is ki taraf paltega aur muskura raha hoga."
[Sahih Muslim: 2937]

Hazrat Abu Saeed رضي الله عنه farmate hain ke ALLAH ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne ek din dajjal ke bare me taveel hadees sunai. Jis me ye tha (ke ek aadmi ko Dajjal ke fauji pakad kar kahenge kya tu humare Rab ko manta hai? 
Wo inkar karega to wo fauji is aadmi ko Dajjal ke paas le jayenge aur Dajjal is se kahega ke tu mujhe manta hai? 
To wo aadmi jawab dega) main gawahi deta hoon ke tu wohi Dajjal (Kazaab) hai jis ke baare me ALLAH ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne hume hadees sunai thi. 
Dajjal (logon) se kahega, kya khayal hai agar main isko qatal kar ke zinda kar doon to mere (Rab hone ke) mutaliq koi Shaq rahega? 
log kahenge nahi to Dajjal ise qatal karega phir zinda karega to wo zinda ho kar kahega ALLAH ki qasam mujhe tu pehle se ziada yaqeen ho gaya ke tu hi dajjal hai. 
Dajjal dubara ise Qatal karna chaheyga magar Qatal na kar sakega."
[Sahih Muslim: 2938]

Har shaher ko rond dalega


RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Makkah aur Madina ke siwa har shaher ko Dajjal rond dalega. In (makkah o madina) ki har ghali par saf basta farishte khade honge jo inki hifazat karenge phir Madina ki Zameen 3 martaba kanpegi jis se ek ek kafir aur munafiq ko ALLAH Ta’ala isme se bahir nikal (kar Dajjal ki taraf bhejh) dega."
[Sahih Bukhari: 1881, Muanad Ahmad: 12657]

Auraton ko apni taraf mayal karega


"Dajjal marqanah (madina ke qareeb ek wadi) ki daldali zameen par padao karega to sab se ziyada Aurtein iski taraf niklengi yahan tak ke aadmi apni Biwi, Maa, Behan, Beti, Chachi, Phuphi (Waghaira) ke paas jayega aur inhe Rassion se bandh dega mubada ke wo Dajjal se na ja milein."
[Musnad Ahmad: 5099]

Banzar zameen se khazane nikalega


"Dajjal ek qaum ke pas ayega aur inhe (apni rabobiyat per) imaan lane ki dawat dega wo is per imaan layenge to dajjal asman ko hukam dega aur asman barish nazil kare ga phir wo zameen ko hukam dega to zameen nabataat ugaye gi…. wo ek banjar zameen ko hukam dega ke wo apne khazane nikal de to wo khazane nikal kar is tarah dajjal ke peche jayegi jis tarah (shahed ki) makhian apni malka ki taraf jati hein."
[Sahih Muslim: 2937]



Dajjal Ki Jannat Aur Jahannum Ki Haqeeqat Kya Hogi?


Dajjal ke sath ek naher (Jannat) aur ek aag (jahanam) hoge. Jo shakhs iski aag me dakhil howa iske liye ajar o sawab wajib ho gaya aur is ke gunnah maaf kar diye gaye aur jo shakhs is ki naher mein dakhil hua is par gunnah laad diye gaye aur is ka ajar mita dia gaya.

RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Jab Dajjal khurooj karega to iske sath paani (jannat) aur Aag (jahanum) hogi jise log aag samjhien ge wo thanda pani hai aur jise log pani samjhenge wo darhaqeeqat jalane wali aag hai. Agar tum me se kisi ko iska samna ho to wo is me dakhil ho jo Aag dekhai deti hai kyon ke wo darasal thanda pani hai."
[Sahih Bukhari: 3450]

"Dajjal ke sath ek jannat aur ek aag (jahanam) hogi pas iski aag to (darasal) jannat hai aur is ki jannat (filhaqeeqat) aag hai."
[Sahih Muslim: 2934]


Hazrat Huzaifa رضي الله عنه se marvi hai ke log Rasool ALLAH ï·º se khair ke baara me sawal kiya kerte the jabka mai shar ke mutaliq pucha kerta tha…. Aap ï·º ne irshad farmaya ke phir dajjal niklega iske sath ek naher (Jannat) aur ek aag (jahanam) hoge. Jo shakhs is ki aag mein dakhil howa is ke liye ajar o sawab wajib ho gaya aur is ke gunnah maaf kar diye gaye aur jo shakhs is ki naher mein dakhil hua is par gunnah laad diye gaye aur is ka ajar mita dia gaya."
[Masnad Ahmad: 9/5]



Dajjal Se Bachne Ke Liye Log Kya Kareinge?

 
Dajjal se bachne ke liye log pahadon par panah lenge.

Hazrat Umme Shareek رضي الله عنه se marvi hai ke unho ne Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) se suna ke, “log Dajjal se bachna ke liye paharon mein chup jayenge. umme shareek رضي الله عنه kehna lagein ya Rasool ALLAH Sallallahu Alaihay Wasallam! is din Ahle Arab kahan honge? 
Aap  ï·º ne farmaya: "Wo is din bohat kum honge."
[Sahih Muslim: 2945]



Dajjal kitne din zameen par firega?


Dajjal 40 dino me saari zameen par ghalba hasil kar lega lekin Makkah aur Madina iske sharr se mehfoz rahenge. Ek din saal barabar hoga, doosra maah barabar, teesra hafta barabar hoga aur phir baaki ayaam aam dino ke barabar honge (yaani ek saal 2 maah aur 2 hafte ke barabar).

Hazrat Nawas bin Sam’aan Ø±Ø¶ÙŠ الله عنه se marvi hai ke ek din ALLAH ke Rasool ï·º ne Dajjal ka tazkira kiya……. hum ne kaha: Ya Rasool ALLAH ï·º Dajjal kitna arsa thehrega? 
Aap ï·º ne farmaya: 40 din. 
Ek din saal barabar hoga, doosra maah barabar, teesra hafta barabar hoga aur phir baaki ayaam aam dino ke barabar honge (yaani ek saal 2 maah aur 2 hafte).
Humne kaha ya Rasool ALLAH ï·º! Jo din saal ke barabar hoga kya is mein hume ek din ki (5) Namazien kafi hongi? (ya puray saal ki perhna honge).
Aap ï·º ne farmaya: Nahi (5 nahi) balke is din ka (saal ke barabar) andaza kar lena (aur saal bhar ki Namazien andaze ke sath ada kerte rehna.)"
[Sahih Muslim: 2937]


"Meri ummat mein dajjal niklega aur 40 (tak) rahega."Abdullah رضي الله عنه farmate hain ke "Mai nahi janta ke 40 din hai ya 40 saal hai ya 40 raatien hai ya 40 maheene hain."
[Sahih Muslim: 2940]


"Dajjal 40 din tak zameen par phirega."
[Musnad Ahmad:13013 Sahih]


Kya Dajjal Makkah Aur Madina Me Dakhil Hoga?


Dajjal Makka aur Madina me dakhil na ho sakega. Jab kabhi Dajjal inme se kisi ek ki taraf dakhil hone ke irade se niklunga to talwar lehrata huwa frishta uska istaqbal karega jo use in (mein dakhil hone) se mana karega aur in (2 shahron) ke har raste par frishte honge jo inki hifazat karenge.

RASOOL'ALLAH ï·º ne farmaya,
"Makkah aur Madina ke siwa har shaher ko Dajjal rond dalega. In (makkah o madina) ki har ghali par saf basta farishte khade honge jo inki hifazat karenge phir Madina ki Zameen 3 martaba kanpegi jis se ek ek kafir aur munafiq ko ALLAH Ta’ala isme se bahir nikal (kar Dajjal ki taraf bhejh) dega."
[Sahih Bukhari: 1881, Muanad Ahmad: 12657]

"Dajjal madine tak aayega to yahan farishton ko iski hifazat par mamoor payega chunache na Dajjal is ke qareeb aa sakta hai aur na he Ta’oon."
[Sahih Bukhar: 7134]

Hazrat Fatima bint Qais رضي الله عنه se marvi hai ke ……. "Main (Dajjal) tumhe apne mutaliq agah karta hoon. Main maseeh dajjal hoon aur anqareeb mujhe khurooj ki ijazat di jayegi to mai nikloonga aur zameen par chaloonga aur main makkah aur Madina ke siwa har basti (shaher) ko 40 raaton mein rond dalonga kyun ke ye (Makkah aur Madina) dono mujh par haram hain. Jab kabhi mai inme se kisi ek ki taraf dakhil hone ke irade se niklunga to talwar lehrata huwa frishta mera istaqbal karega jo mujhe in (mein dakhil hone) se mana karega aur in (2 shahron) ke har raste par frishte honge jo inki hifazat karenge."
[Sahih Muslim: 2942]


"Dajjal mashriq ki taraf se kharij hoga aur Madina ka rukh kareyga. yahan tak ke jab wo auhad (pahaar) ke paas pohanchega to farishte iska rukh mulk shaam ki taraf phair deinge aur shaam me hi ye (dajjal) halak hoga."
[Sahih Muslim: 1380]


Abdullah bin Shafeeq  Ø±Ø¶ÙŠ الله عنه se marvi hai ke ALLAH ke Rasool ï·º ne logon ko khutba dete huye farmaya: 
"Khalasi wala din, tumhe kya maloom khalasi wala din kounsa hai? 
3 martaba ye jumla duhraya phir farmaya: Dajjal niklega aur auhad pahad par charh kar madine ki taraf dekhega to apne sathion se puchega ke kya tum ye safaid mahal dekh rahe ho yeh Ahmad ï·º ki masjid hai phir wo Madina ki taraf ayega to har raste par talwar sonte huye farishte ko payega phir wo (madina ke qareeb) daldali zameen par padao karega. Madina 3 martaba harkat (zalzala) paida karega jis ke nateejey mein har munafiq, munafiqa aur fasiq dajjal ki taraf nikal jayega. pas yahi hai (youm al khalas) khalasi wala din."
[Masnad Ahmad 455/4]


Konsa Qabila Dajjal Ke Khilaf Sakht Sabit Hoga


Nabi-e-Kareem ï·º ne inke baare me farmaya tha ke ye log Dajjal ke muqable me meri ummat me sabse ziyada sakht mukhalif sabit honge. Ye log dajjal ke liye sab logon se barh ke lambe-lambe naizon (se hamla kerne) wale sabit honge.

Hazrat Abu Huraira  Ø±Ø¶ÙŠ الله عنه farmate hai ke 3 baton ki wajah se jo maine ALLAH ke Rasool ï·º se suni hein, main bano tameem se humesha muhabbat karta hoon. 
1. Nabi-e-Kareem ï·º ne inke baare me farmaya tha ke ye log Dajjal ke muqable me meri ummat me sabse ziyada sakht mukhalif sabit honge. 
2. Phir (Abu Huraira  Ø±Ø¶ÙŠ الله عنه ne) kaha ke bano tameem ke yahan se Zakat ka maal aaya to Nabi-e-Kareem ï·º ne irshad farmaya ke humare qaum ki Zakat hai. 
3. Bano tameem ki ek aurat qaid ho kar Hazrat Ayesha  Ø±Ø¶ÙŠ الله عنه ke paas (ghulam) thi to Nabi-e-Kareem  Ø±Ø¶ÙŠ الله عنه ne inse farmaya ise aazad kar do ye Hazrat ismael عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ ki aulad me se hain."
[Sahih Bukhar: 2543, Sahih Muslim: 6133]

Ek riwayat mein hai ke (Ek martaba) bano tameem walon ki Zakat mein takheer hui to ek aadmi ne (tanzan) kaha ke ye banu tameem wale to Zakat bejhne me susti kar dete hain. Aap  ï·º ne iski baat suni to farmaya: "Banu tameem to meri badi pyari qaum hai iske baare me humesha acchi baat hi kiya karo ye log dajjal ke liye sab logon se barh ke lambe-lambe naizon (se hamla kerne) wale sabit honge.”
[Masnad Ahmad 230/4


Kya Musalmano Ki Fatah Hogi?


Musalmano ki fatah hogi. Dajjal saari zameen per qabza jama lega magar Baitullah aur Baitul Maqdas tak rasayi naa pa sakeyga. Baitul Maqdas me (maujood) musalmano ka muhasra karega to in (musalmano) ko shadeed zalzalon ka samna hoga bilakhir ALLAH Ta’ala dajjal aur iske lashker ko tabah-o-barbad kar dega.

"Tum (musalman) ahle arab se ladoge aur ALLAH Ta’ala tumhe fatah se nawazega, 
Phir tum faris (Iran) se ladoge aur ALLAH Ta’ala tume fatah ata farmayega, 
Phir tum ahle room se ladoge aur ALLAH Ta’ala tumhe fatah se hamkanar karega, 
Phir tum dajjal se ladoge aur ALLAH Ta’ala tumhe is par fatah ata karega."
[Sahih Muslim: 2900]

"ALLAH ki qasam! Qayamat is waqt tak qayam nahi hogi hatta ke 30 jhoote zahir honge jin me sab se aakhri kaana dajjal hoga jiski bayien aankh kaani hogi… wo saari zameen per qabza jama lega magar Baitullah aur Baitul Maqdas tak rasayi naa pa sakeyga. Baitul Maqdas me (maujood) musalmano ka muhasra karega to in (musalmano) ko shadeed zalzalon ka samna hoga bilakhir ALLAH Ta’ala dajjal aur is ke lashker ko tabah-o-barbad kar dega."
[Musnad Ahmad: 22/5]


Dajjal Ka Khatma Kaise Hoga?


Hazrat Isa عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ dobara rooh-e-zameen par utare jayenge jo apne musalman sathiyon ke saath mil kar Dajjal aur iske lashker se jung karenge. Is Jung me Dajjal muqam-e-ludd par Hazrat Esa عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ ke hathon halak hoga.

"Qayamat qayem nahi hogi hatta ke musalman yahoodion se jung karenge aur inhe qatal karenge hatta ke agar koi yahoodi darakhat ya pathar ki oat lay ga tu wo darakhat aur pathar pukar uthenge, aye musalman! aye ALLAH ke bande! yahan aa, yahoodi meri oat mein hai ise qatal kar daal, albata gharqad (kante daar darakhat keekar jaisa) nami darakht (nahe bolega) kyon ke ye yahodion ka darakhat hai."
[Sahih Bukhari: 2925]

"....Wo (dajjal) is alam me hoga jab ALLAH ta'ala maseeh Hazrat Isa ibne Mariyam Ø¹َÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ ko maboos farma dega. Wo damishq ke hisse me ek safeid minaar ke kareeb do kesri kapdo me do farishton ke kandhon par haath rakhe hue utrenge."
[Sahih Muslim: 2937]


Hazrat Abdullah bin Masood رضي الله عنه farmate hai ke musalman romion se khunraiz jung karenge aur fatah hasil karenge abhi mal e ghaneemat taqseem kar rahe honge ke ek faryadras (zor se cheekhne wala) ayega aur kahega ke dajjal inke ahle o ayaal me zahir ho chuka hai to wo sab kuch waheen phaink kar (is ki taraf) mutwaja honge aur 10 shahsawaron ko khabar lene ke liye rawana kar denge. ALLAH ke Rasool ﷺ ne farmaya: Mai in (shahsawaron) ke naam, inke abao ajdaad ke naam aur in ke ghoron ke rang se bakhubi agah hoon aur ye is din roye zameen per sab se bahtareen shahsawar honge.."
[Sahih Muslim: 2899]


"Qayamat qayam nahi hogi, yahan tak kah romi (Romans yani isai) amaaq (sham me halab or antakiya ke darmiyan ek par fiza alaqah jo dabiq shehr se mutasl waqa hai) ya dabiq me utrenge. Unke sath maqable ke liye ( dmishq) shehr se (ya madina se) us waqat roye zamin ke behtarin logon ka ek lshkar rawana ho ga. 

Jab wah (dushman ke samane) saf aarai honge to romi (isai) kahenge tum hamare or un logon ke darmiyan se hat jao jinhon ne hamare logon ko qaidi banaya huwa hai hum un se ladenge. To musalman kahenge, ALLAH ki qasam! Nahi ham tamhare aur apne bhaiyon ke darmiyan se nahi hatenge.
Chunanchah woh un (isaion) se jang karenge. Un (musalmano) me se ek tihai (1/3) shikast taslim kar lenge. ALLAH unki tobah kabhi qabol nahi farmayega or ek tihain (1/3) qatal kar diye jayenge. 

Wah ALLAH ke nazdek afzal tarin shahda honge or ek tihain fatah haasil karenge. Wah kabhi fitane me mubtala nahi honge. (hameshah saabit qadam rahenge) or khastuntaniya (constantinople) ko (dubarah) fatah karege. 

(Phir) jab wah ghanimatein taqsim kar rahe honge or apne hathiyar unhonne zaitoon (olive) ke darkhton se latkaye huye honge to shaitan unke darmiyan cheekh kar ailaan karega. Maseeh (Dajjal) tumhare pitchhe tumhare ghar walon tak pohunch chuka hai, wah nikal padenge magar ya jhoot hoga. Jab wah shaam (damishq) pohunchenge to wah namudar ho jayega. 

Is dauran me jab wah jang ke liye tyari kar rahe honge. Safein sidhi kar rahe honge to namaz ke liye aqamat kahi jayegi us waqat Hazrat Isa Ibn Mariyam عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ utrenge to unka rukh karenge, phir jab ALLAH ka dushman (dajjal) unko dekhega to is tarah pighalega jis tarah namak pani me paghalta hai. Agar wah (Hazrat Isa عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ) ise chhod bhi dein to wah pighal kar halak hojayega lekin ALLAH ta'ALA use un (Hazrat Isa عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ) ke haath se qatal karayega aur logon ko unke hathiyar par uska khoon dikhayega."
[Sahih Muslim: 2897]



Kya Dajjal Se Bachne Ka Koi Tariqa hai?


Dajjal ke fitne se bachne ke liye hame ALLAH se uski panah mangni chahiye, Surah Al-Kahaf ki shuru ki 10 aayatein yaad karni chahiye or agar uska samna ho to inhi 10 aayaton ki tilawat karein. Jo bhi Dajjal ke mutaliq sune wo isse door rahe kyun ki aadmi apne imaan par wasooq kamil ke sath iske paas jayega to iske ajeeb-o-ghareeb shobde dekhte dekhte iska pairokar ban jayega or apne imaan ko majbooti se thaam ke rakhna chahiye ke shyatan hame behka na sake.

Dajjal ke Fitne se ALLAH ki panah mangna


Hazrate Ayesha رضي الله عنه se marvi hai ke ALLAH ke Rasool ï·º apni Namaz me ye dua perha kerte the (baaz riwayaat mein hai ke is tarah panah manga kerte the) “Aye ALLAH Mai Azab e Qabar se teri panah mangta hoon, aur 
Maseeh dajjal ke Fitne se teri panah mangta hoon, aur 
Zindgi ke Fitne se, aur Maut ke fitno se teri panah mangta hoon, 
Aye ALLAH mai gunnah aur qarz se teri panah mangta hoon.”
[Sahih Bukhari: 832]


Hazrate Ayesha رضي الله عنه se marvi hai ke,
"ALLAH ke Rasool ï·º apni Namaz mein Dajjal ke Fitne se panah manga kartey the."
[Sahih Bukhari: 833]


Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه farmate hai ke ALLAH ke Rasool ï·º ne irshad farmaya: 
"Jab tum aakhri tashhud (parh kar) farigh ho jao to 4 cheezon se ALLAH ki panah manga karo. 
1. Qabar ke azab se,  
2. Jahanam ke azab se, 
3. Zindagi aur Maut ke fitno se
4. Maseeh dajjal ke sharr se.
[Sahih Muslim: 588]


Hazrat Abdullah bin Abbas رضي الله عنه) se marvi hai ke bilashuba Nabi Kareem ﷺ Namaz ke aakhir me (baaz riwayaat ke mutabiq tashhud ke aakhir mein) 4 cheezon se panah manga kerte the.
1. Azab e Qabar se, 
2. Azab e Jahanam se, 
3. Zahri o batni fitno se
4. Andhe, kaane, jhoote (maseeh dajjal) se teri panah mangta hoon.”
[Musnad Ahmad: 301/1]

Surah Al-Kahaf ki shuru ki 10 aayatein


"Jis shakhs ne Surah Al Kahaf ki ibtadai 10 aayat hifaz kar leen tou wo Dajjal ke Fitne se bacha lia gaya."
[Sahih Muslim: 809, Abu Dawood: 4323]

"Wo Ghungharyale baalon wala naujawan shakhs hai goya mai ise Abdul uzza bin Qatan (kafir) se mushabhat de sakta hoon aur jo shakhs tum mein se Dajjal ka samna kare wo Surah Al Kahaf ki ibtadai Aayat ki tilawat kare."
[Sahih Muslim: 2937]


Dajjal ki khabar sune to usse door rahe


"Jo Shakhs Dajjal ke (khurooj ke) mutaliq sune wo is se door rahe bilashuba aadmi apne imaan par wasooq kamil ke sath is ke paas jayega to iske ajeeb-o-ghareeb shobde dekhte dekhte iska pairokar ban jayega."
[Abu Dawood: 4319]


Ek riwayat me hai ke Aap ï·º ne 3 martaba farmaya: "Dajjal se door rehna kyun ke jab aadmi is ke paas jayega to is ke shobdey dekh kar is ki tasdeeq kar dega."
[Musnad Ahmad: 589/4]


Imaan par qayam rehna


"Jis shakhs ne (Dajjal se) kaha, tu mera Rab hai wo to Fitne se dochaar huwa aur jis shakhs ne kaha tu jhoota hai. Mera Rab to ALLAH hai aur mai isi par bharosa karta hoon to Dajjal ise koi nuqsan nahi pohancha sakega (ise fitna nuqsan nahi dega)."
[Musnad Ahmad: 28/4]


Dajjal Ki Kamzoriyan Kya Hain?


Dajjal ki dono Aankhien ayebdaar hongi. ALLAH kabhi uski baayien aankh kaani bana dega aur kabhi dahini. Ye uski bebasi ka nazara hoga ke ek aankh us ki humesha kaani raheygi dono kabhi theek nahi kar sakega. Apne mathe par likha Kafir (Kaaf, Faa, Raa) na mita sakega.  Makkah aur Madina dono us per haram kar diye gaye hai jab kabhi wo inme se kisi ek ki taraf dakhil hone ka irada lekar nikloonga to talwar lehrata huwa farishta uska istaqbal karega jo use in (mein dakhil hone) se rokeyge.

Uski aibdaar aankhein


"Dajjal ki dahni aankh kaani hogi goya wo angoor ka (ubhra huwa) dana hai.”
[Sahih Bukhari: 7123]


"Dajjal baayien aankh se kana hai."
[Sahih Muslim: 2934]


Dono hadeesien ek doosre ke ulti maloom hoti hai lekin ALLAH kabhi uski baayien aankh kaani bana dega aur kabhi dahini. Ye uski bebasi ka nazara hoga ke ek aankh us ki humesha kaani raheygi dono kabhi theek nahi kar sakega.

Uske maathe par likha kaafir


 "Har Nabi ne apni ummat ko kaane aur jhoothe (Dajjal) se daraya hai, khabardar wo kaana hai halanke tumhara Rab kana nahi. Is (Dajjal) ki ankhon ke darmayan kafir likha hoga."
[Sahih Bukhari: 7131]


"Is ki dono ankhon ke darmayan kafir likha hoga phir aap ne hijja kar ke bataya (kaaf, faa, raa) jise har musalman parh sakega."
[Sahih Muslim: 2933]


Makkah aur Madina me dakhil nahi ho sakna


Hazrat Fatima bint Qais رضي الله عنه se marvi hai ke Dajjal ke baarey mein taveel hadees hai jis mein (Dajjal kehta hai ke) 
"Main 40 dino mein saari Zameen rond daalonga albata Makkah aur Madina dono mujh per haram kar diye gaye hai jab kabhi mein in me se kisi ek ki taraf dakhil hone ka irada lekar nikloonga to talwar lehrata huwa farishta mera istaqbal karega jo mujhe in (mein dakhil hone) se rokeyga aur in (dono shehron) ke har raastey par muhafiz farishte khade honge."
[Sahih Muslim: 2942]

Momin ko Qatal nahi kar payega


"Dajjal ke khurooj ke waqt ek momin shakhs iski taraf niklega jise dajjal ke fauuji pakad kar puchenge ke tu humare rab par iman lata hai? 
Magar iske inkar par wo ise qatal karna chahenge to inme se baaz kahenge kya tumhare rab (dajjal) ne kisi ko qatal karne se mana nahi kia! 
To wo ise dajjal ke paas le jayenge. 
Jab wo momin dajjal ko dekhega to kahega logo! Yahi wo dajjal hai jiske Fitne se hume ALLAH ke Rasool ï·º ne farmaya tha. 

Dajjal iska pait aur pusht lambi kar ke apne faujion se iski khoob pitai karwayega aur kahega ab imaan lata hai? 
To wo momin kahega ke tu jhoota maseeh hai.
Dajjal iske sir se paaon tak aari se 2 tukde karwa dega aur inke darmayan tahlega phir kahega: Uth to wo momin (zinda) uth khada hoga.

Dajjal phir puchega haan! Ab mujh par iman lata hai? 
To wo momin kahega ke ab to muje pukhta yaqeen ho gaya ke tu dajjal hai aur logon se kahega, logo! ye mere baad kisi par musalat nahi ho payega.

To dajjal ise zibah karne ke liye pakdega magar is (momin) ka gala hansli (ki haddi) tak tanbe ka ban jayega aur dajjal ise zibah na kar sakega to iske hath paon pakad kar ise phenkega. 
log samjhenge ke isne aag me phenk dia hai halanke ise jannat me dala jayega. 

ALLAH Rab ul Aalameen ki nigah mein ye momin sab se bada shaheed hoga."
[Sahih Muslim: 2938]

Momin ko nuqsan nahi pohancha sakega


"Jis shakhs ne dajjal (ki rabobiyat se inkar kerte huwey is) se kaha ke tu jhoota hai mera Rab to ALLAH hai jis par meai tawaqal karta hoon (Rabbi ALLAH Alaihe Tawakalt) to Dajjal ise kuch nuqsan nahi pohancha sakega."
[Musnad Ahmad: 421/5]



Dajjal ka fitna part 1 



Post a Comment

0 Comments