Gham Aur Tension Ka Ilaaj

 

Gham Aur Tension Ka Ilaaj

Gham Aur Tension Ka Ilaaj

Insani zindagi ek halat me nahi rehti, kabhi khushi-kabhi gham, kbahi dhoop-kabhi chaw, sukh aur dukh dono lage rehte hain. Zindagi me dukh na ho ye mumkin nahi hai. Khushal insan ya amir insan kisi se bhi puche to unki zindagi ke koi aise pehlu honge jo unhe takleef dete honge. Ye to mumkin nahi ke hum takleefon se bach sake par hamara deen hame kuch aise kaam aur chizein batata hai jisse hum apne ghamo ko halka kar sakte hain. Kitab o sunnat ki roshni me hum jaan sakte hai islam me gham aur tension ka ilaaj kaise kiya ja sakta hai.


Imaan Ki Daulat Apnana

Agar hum chahte hai hmari zindagi aasan ho jaye, dukhon aur takleefon se hum bache rahe to sabse pehla kaam hame ye karna hai ke hum imaan ki daulat apnaye. Ek banda jab imaan wala aur nek amal karnewala banega to Allah ka ye wada hai uski zindagi khush'haal aur khushgawar hogi.

"Jo shaks bhi nek aamal karega, khwa woh mard ho ya aurat, bashart ye ke ho woh momin, use hum duniya mein pakeeza zindagi basar karayenge aur (aakhirat mein) aise logon ko unke ajar unke behtareen aamal ke mutabiq bakshenge."
[Quran Surah An-Nahl 16:97]

Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:
"Momin ke maamle bhi ajeeb hai ke us ka har maamla khair par mabni hai, aur ye ezaaz sirf momin hi ko haasil hai, ke agar use khushi haasil hoti hai to wo us par Allah ta’ala ka shukr karta hai, aur ye shukr baja lana uske liye nihayath mufeedh hai, aur agar use koi musibat ya pareshani lahaq hoti hai to wo us par sabr karta hai, us sabr karne mein bhi us ke liye khair wa barkath hai."
[Sahih Muslim: 2999]


Gunahon Ka Kaffarah

Ek momin hamesha ye baat yaad rakhe uske sath zindagi me jo takleefein aati hain, jo bhi pareshaniyan aur musibat aati hai wo haqeeqt me uske gunahon ka kaffarah banti hain.

Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:“Musalman jab bhi kisi pareshani, Beemari, Ranjh o Malal , takleef aur gham mein mubtila ho jata hai yahan tak ki usee koi kaanta bhi chubh jata hai to Allah use uske gunaahon ka kaffara bana deta hai.”
[Sahih Bukhari: 5641]

Ek sahabi ki mulaqat ek aurat se hui aur wo aurat zamane jahiliyat me fahisha aurat thi jo baad me islam le aai thi. Sahabi ne us aurat ko dekha aur shaytan ne use behkaya aur wo us aurat ke sath ched chad karne lage, Us aurat ke sath galat kaam karne ka iradah kiya.
Aurat ne kaha: Aye insan! Tu ruk ja. Allah ne hum dono ko zamana jahiliyat (shirk) se aazad kar diya. Hum to islam le aaye.
Aurat ne Allah ka darr dilaya, islam ki neymat yaad dilai aur sahabi apne iradah se baaz aa gaye.
Sahabi Raste me wapas aane lage, unka chehra ek diwar se takra gaya, unko chot aa gai.
Sahabi Rasool Allah (ï·º) ke pass pahunche aur pura waqya unko bataya.
Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:
"Aye mere sahabi isme tumhe ghamgheen hone ki zaroorat nhi hai. Tum to aise bande ho jiske sath Allah ne bhalai ka iradah kiya hai. Jab Allah apne kisi bande ke sath bhalai ka iradah karta hai to uski galtiyon ki saza jaldi hi uske duniya me dedeta hai. Aur agar Allah kisi bande ke sath bhalai ka iradah nhi farmata balke use azab me mubtila karna chahta hai to Allah uske gunahon ko rok deta hai, uske gunaho ki saza use duniya me nahi milti, yaha tak ki qayamat ke din uske amal ka use pura badla diya jata hai. Jab gunahon ke dher uske samne aate hain to pahad ki tarha lagte hain."
[Musnad Ahmad: 16929]


Duniya Ko Haqeeki Na Samajhna

Duniya momino ke liye sab kuch nahi hai ye ek mukammal ghar nahi hai yaha neymatein bhi hain aur pareshaniyan bhi hain, sukh bhi hai dukh bhi hai. Jab insan Allah ke pass jayega to waha use haqeeqi khushiyan aur sukh milega.

Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:
"Duniya momin ka qaidkhana aur kafir ki jannat hai."
[Sahih Muslim: 2956]

Hazrat Qatada bin Rib'i (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) se rivayat hai,
Rasool Allah (ï·º) ke samne se ek janaza guzra to aap ne farmaya:
"Ye janaza aaram pane wale ka hai ya isse aaram pa liya gaya hai."
unhone (sahabi) ne pucha: Aye Rasool Allah (ï·º)! Aaram paane wala ya jisse aaram milne wala hai se kya murad hai?
To Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:
Banda momin duniya ki takleef se aaram pata hai aur fajir bande se log, shahar, darakht aur haywanat aaram pate hai."
[Sahih Muslim: 950]

Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:
"Jab momin ko maut aane lagti hai to rehmat ke farishte safed resham ka libas lekar uske pass aa jate hai aur kehte hai: Aye momin rooh! Nikal aa.
Tu Allah se raazi, Allah tujhse raazi. Aur chal Allah ki rehmat aur meharbani ki taraf aur pahunch aise rab ke pass jo tujh par qat'an naraz nahi hai.
To wo intehai khushbudaar aur pakizah kastoori jaise mehak ke sath nikal aati hai. Hatta ke farishte (khushboo aur sarwar se) use ek dusre ko pakadte (hantho hant lete hain) hain aur isi tarha wo use asman ke darwaze tak le jate hain.
Aasman wale farishte kehte hain: Kis qadar khushbudaar hai ye rooh jo tum zameen se llaye ho!
Fir wo use (pehle se fautsudah) momineen ki roohon ke pass le aate hain.
Allah ki qasam! Wo iske aane par is qadar khush hote hain ke tum apne kisi gayab sakhs ke aane par itne khush nahi hote.
Fir wo (pehle momin) usse puchte hain: Falan ka kya haal hai?
Fir wo (aapas me) kehte hain: Chhodo ise ye to duniya ke gham wa fikr me tha."
[Sunan An Nasai: 1834 Sahih]


Anbiya Ko Yaad Karna

Jab zindagi me dukh, takleefein, bimariyan aaye, musibatein aaye, aazmaishein aaye to hum swaleheen ko yaad karein, Allah ke nek bando ko yaad kare. Hum anbiya ikram ko yaad kare. Kya unki zindagi me takleefein nahi aai? Kya wo bimar nahi pade? Kya unhone musibatein nahi sahi? Jitna jo Allah ka muqarrab banda hota hai, uska nek banda hota hai uske upar utni aazmaishein aati hain.

Hazrat Mus'ab bin Sa'd (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) se riwayat hai,
Maine arz kiya: Ya Rasool Allah (ï·º)! Sabse zyadah musibatein kin par aati hain?
Aap (ï·º) ne farmaya: Anbiya wa Rasool par, phir jo unke baad martaba me hain, phir jo unke baad hain.
Bande ki aazmaish uske deen ke mutabik hoti hai. Agar banda apne deen me sakht hai to uski musibat bhi sakht hoti hai aur agar wo apne deen me narm hota hai to uske deen ke mutabik musibat bhi hoti hai. Phir musibat bande ke sath hmesha rehti hai, yaha tak ke banda roo e zameen par is haal me chalta hai ke us par koi gunah nahi hota."
[Sunan Tirmizi: 2398 Sahih]


Duniya Ko Zndagi Ka Maqsad Na Banana

Ham duniya ke andar zindagi guzare, duniya ki neymaton se faydah uthaye, duniya ke tamam wasail istemal kare magar duniya ko apni zindagi ka maksad na banaye. Duniya me zindagi guzarete hue apni akhirat ko maksad banaye. Akhirat ki zindagi kese behtar ho ye hmara maksad ho.

Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:
"Jiska maqsad zindagi akhirat ho Allah uske dil ko ghani (rich) bana deta hai aur use dil jama ata karta hai aur duniya uske pass zaleel ho kar aati hai aur jiska maqsad talab duniya ho, Allah uski mohtaji uske dono aankho ke samne rakh deta hai aur uski jama khatir ko pareshan kar deta hai aur duniya uske pass utni hi aati hai jo uske liye muqarar hai."
[Sunan Tirmizi: 2465 Sahih]

"Magar tum log duniya ki zindagi ko tarjeeh detay ho. halanke aakhirat behtar hai aur baqi rehne wali hai."
[Quran Surah Al-Aala 87: 16-17]


Maut Ko Yaad Karna

Jab duniya me koi musibat ya takleef aaye to hume maut ko yaad karna chahiye. Maut se badi koi
musibat nahi hai. Kitni bhi pareshaniyan aa jaye ek din to marna hi hai aur maut ke sath saari pareshaniya khatam ho jayegi. Ye tasawwur hmari pareshaniyon ko halka kar deti hain.

"Lazzaton ko tod dene wali, lazzaton ko fana kar dene wali chiz maut ko zyadah se zyadah yaad karo. Jisne bhi isko tangi ki halat me yaad kiya to maut ne uske upar khushadgi laa di. Aur jo khushali me maut ko yaad karega maut uske upar tangi laa degi."
[Sahih Ibn e Hibban: 2993]

Hazrat Bara (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) se riwayat hai ke,
Hum Rasool Allah (ï·º) ke humraah ek janaze me the, Aap (ï·º) qabr ke kinare baith gaye aur rone lage yaha tak ke mitti geeli ho gai, phir
Rasool Allah (ï·º) ne farmaya: Mere bhaiyon! Is jaisi ke liye tayyari kar lo."
[Sunan Ibn E Majah: 4195 sahih]

Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:
"Qabron ki ziyarat kiya karo, isliye ke ye tumko aakhirat ki yaad dilati hai."
[Sunnan Ibn E Majah: 1569 sahih]Usman (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) ke Aazaad karda ghulam Hazrat Haani Rahimahullahu farmate hain ke,
"Hazrat Usman (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) jab kisi qabr ke paas khadhe hote to bahut rote yahan tak ke aansuon se apni dadhi ko tar kar dete. Unse arz kiya gaya (ye kya baat hai) ke aap Jannat wa Dozakh ke tazkire par nahi rote aur qabr ko dekhkar is qadr rote hain? Aap ne farmaaya ke Rasool Allah (ï·º) ne irshaad farmaaya: Qabr aakhirat ki manzilon mein se pehli manzil hai agar banda is se najaat pa gaya to aage ki manzilein isse zyaada aasaan hain, aur agar is manzil se najaat na pa saka to baad ki manzilein usse zyaada sakht hain (neez) Rasullulah ï·º ne ye irshaad farmaaya maine koi manzar qabr ke manzar se zyaada khaufnaak nahi dekha."
[SunanTirmizi: 2308 Sahih]


Allah Se Law Lagana (Dua Karna)

Sukh ho ya dukh, pareshani ho ya aasani, bimari ho ya shifa ye tamam chizein taqdeer ka ek hissa hai. Sab usi ki taraf se aata hai isliye hame chahiye ke ham duniya ki chakachaudh ko chhod kar apne rab me law lagaye, duaein kare wo hmare dukhon ko door karega.

"Aur (Aye Habib!) jab mere bande aap se meri nisbat sawaal krein to (bata diya krein ke) mein nasdeeq hoon, mein pukaarne wale ki pukaar ka jawab deta hoon jab bhi woh mjhy pukaarta hai, toh inhein chahiye ke meri farmabardaari ikhtiyaar kren aur mujh per pukta yaqeen rakhein take wo (rah-e-muraad) pajaye."
[Quran Surah Baqrah 2:186]

Rasool Allah (ï·º) bakasrat ye dua padha karte the,
"Aye Allah! mai teri panah mangta hoon gham se, ranj se, aajizi se, susti se, bakhal se, buzdili se, qarz ke bojh se aur logon ke galba se."
[Sahih Bukhari: 5425]

Hazrat Abu Hurairah (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) se riwayat hai,
Rasool Allah (ï·º) farmaya karte the:
"Aye Allah! mere deen ko durust kar de, jo mere (deen wa duniya ke) har kaam ke tahaffuz ka zariyah hai aur meri duniya ko durust kar de jisme meri guzran hai aur meri akhirat ko durust karde jisme mera (apni manzil ki taraf) lautna hai aur meri zindagi komere liye har bhalai meizafe ka sabab bana de aur meri wafaat ko mere liye har shar se rahat bana de."
[Sahih Muslim: 2720]

Hazrat Ibn Abbas (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) se riwayat hai,
Rasool Allah (ï·º) pareshani ke waqt ye dua karte the,
"Allah ke siwa koi mabood nahi jo bahot janne wala bada burdbar hai, Allah ke siwa koi mabood nahi jo arsh azeem ka rab, Allah ke siwa koi rab nahi jo aasmano ka rab hai, zameen ka rab hai aur arsh kareem ka rab hai."
[Sahih Bukhari: 7426]

Rasool Allah (ï·º) subah o shaam teen baar ye dua padha karte the,
"Aye Allah! Tu mere kaan ko afiyat ata kar.
Aye Allah! Tu meri nigah ko afiyat se nawaz de. Tere siwa koi mabood barhaq nahi."
[Abu Dawood: 5090 Zaef]


Allah Ki Rehmaton Par Bharosa Rakhna

Hame ye yaqeen hona chaiye ke jiske deen par hum chal rahe hai wo hame kabhi ruswa na karega. Apni rab par hmare bharosa karna chahiye yaqeenan wo hmare dukhon ko door karega.

"Aur use aise raaste se rizq dega jidhar us ka guman bhi na jata ho jo Allah par bharosa kare us ke liye wo kafi hai Allah apna kaam pura kar ke rehta hai Allah ne har cheez ke liye ek taqdeer muqarrar kar rakkhi hai."
[Quran Surat At-Talaq 65:03]

Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:
"Jab Ibrahim (عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ٱلسَّÙ„َامُ) ko aag me dala gaya to akhri kalima jo apki zubaan mubarak se nikla wo ye tha, "Meri madad ke liye Allah kaafi hai aur wahi behtarin kaam banane wala hai."
[Sahi Bukhari: 4564]

Abu Bakr (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) se rivayat hai,
"Jab hum gaar e soor me chupe the to maine Rasool Allah (ï·º) se arz kiya ke agar mushrikeen ke kisi aadmi ne apne kadmon par nazar daali to to wo zaroor humko dekh lega.
Is par aap Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:
" Aye Abu Bakr! Un do ka koi kya bigaad sakta haijinke saath tera Allah hai."
[Sahi Bukhari: 3653]


Kasrat Se Durood Padhna

Allah ke nabi Rasool Allah (ï·º) par kasrat se durood padhne se bhi bhot saari musibatein door hojaati hain. Allah ne ghamo ka bada aasan ilaj bataya hai aur ek musalman apne Rasool se jo mohabbat karta hai, jo mohabbat har momin ke dil me hai us mohabbat ka takaza bhi hai ke insan kasrat se Allah ke nabi par durood padhe. Rasool Allah (ï·º) par durood padhna bhot khair o barkat ka sabab banta hai.

Hazrat Abi bin Kaab (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) se riwayat hai,
Jab do tihai guzar jaati to Rasool Allah (ï·º) uthte aur farmate:
"Logon Allah ko yaad karo, Allah ko yaad karo, khadkhadane wali qayamat kareeb aa gai hai aur iske sath ek dusri chiz (maut) apni fauj lekar aa gai hai. Maut apni fauj lekar aa gai hai."
Maine arz kiya, Rasool Allah (ï·º)! mai aap par bhot salat (durood) padha karta hoon, So apne wazife me aap (ï·º) par durood ke liye kitn awaqt mukarrar kar lun?
App (ï·º) ne farmaya: "Jitna tum chaho."
Maine arz kiya: chauthai?
App (ï·º) ne farmaya: "Jitna tum chaho aur usse zyadah kar lo to tmhare haq me behtar hoga."
Maine arz kiya: aadha?
App (ï·º) ne farmaya: "Jitna tum chaho aur usse zyadah kar lo to tmhare haq me behtar hoga."
Maine arz kiya: do tihai?
App (ï·º) ne farmaya: "Jitna tum chaho aur usse zyadah kar lo to tmhare haq me behtar hoga."
Maine arz kiya: Agar saari dua Aap (ï·º) par Durood bhejne keliye khaas kardun to?
Rasool Allah (ï·º) ne farmaya: "Fir to ye Durood tere tamam ghamo ko kaafi hojayega aur tere tamam gunah maaf kardiye jayenge."
[Sunan Tirmizi: 2457 Sahih]


Tension Na karna

Ghamo se bachne ka ek ilaj ye bhi hai ke insan tension na kare, na apne future ko lekar bhot zyadah pareshan ho na apne past ko lekar bhot zyadah halka ho. Insan bhalai ka talabgar bane, bhlai ki chizon ko hasil karne ki koshish kare, nakara na bane, aajiz na bane aur tension na pale.

Rasool Allah (ï·º) ne farmaya
"Taqatwar momin Allah ke nazdeek kamzor momin ki nisbat behtar aur zyadah mahboob hai, jab ke khair dono me (maujood hai) hai.Jis chiz se tumhe (haqeeqi) nafa pahunche usme hirs karo aur Allah se madad mango aur kamzor na pado (mayus hokar na baitho) jao. Agar tumhe koi nuksan pahunche to ye na kaho: Kaash! Mai (is tarha) karta to aisa aisa hota.
Balke ye kaho: (Ye) Allah ki taqdeer hai, wo jo chahta hai karta hai, isliye ke (hasrat karte hue) kaash (kehna) shaytan ke amal (ke darwaze) ko khol deta hai."
[Sahih Muslim: 2664]

Kasrat Se Allah Ka Zikr Karna

Kasrat se Allah ka zikr karne se bhi insan ko bhot si takleefon aur ghamo se nizat milti hai aur Allah ka zikr na karne se shaytan uspar hamlawar hota hai aur takleefon me dalta rehta hai.
"Aur jo mere 'zikr' (dars e naseehat) se mooh moadega uske liye duniya mein tangg zindagi hogi aur qayamat ke roz hum usey andha utayenge"
[Quran Surah Taha 20:124]

"Jo shaks Rehman ke zikar se tagaful (gaflat) barat-ta hai, hum is par ek shaytan musallat kar detay hain aur woh us ka rafiq ban jata hai."
[Quran Surah Az-Zukhruf 43:36]

"Aise hi log hain woh jinhon ne (is Nabi ki dawat ko) maan liya hai aur unke dilon ko Allah ki yaad se itminaan naseeb hota hai, khabardar raho! Allah ki yaad hi woh cheez hai jissey dilon ko itminaan naseeb hua karta hai."
[Quran Surah Ar-Raad 13:28]


Namaz Padhna

Hum namaz ka ehteman kare jo Nabi-e-Kareem (ï·º) ki aankho ki thandak hai, jo ek momin ke imaan ki bahot badi nishani hai aur jiska ehtemaan kiye bagair hum Allah ki Bargah-e-Ilahi me kamyab nahi ho sakte.

"Aur sabar aur namaz ke zarriye (Allah se) madad chahoo, aur beshak ye gahran (yani mushkil) hai magar (unn) azajoon per (hargiz) nahi (jin ke dil muhabbat-e-ilaahi se khassta aur khashyat-e-ilaahi se shikasta hain)."
[Quran Surah Baqrah 02:45]

Hazrat Hudhaifah (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) farmate hain,
"Rasool Allah (ï·º) ko jab koi waqya pesh aata to aap (ï·º) namaz padhte."
[Sunan Abu Dawood:1319 sahih]


Allah Ki Raah Me Jihad Karna

Allah ke deen ke liye hum jo bhi struggle karte hai, jo bhi jaddojehad kare wo sab jihad me shamil hai. Ye bhi musibaton se aur ghamo ka bahot bada ilaaj hai.

Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:
"Aye meri ummat ke logon tum Allah ki raah me jihad ko lazim pakdo. Allah ki raah me jihad kabhi tark na karna. Jihad fisabilillah ko lazim pakad lo kyun ki jihad hi jannat ke darwazon me ek darwaza hai, iske zariyah Allah bhot sare ghamo aur takleefon ko door kar deta hai."
[Musnad Ahmad: 22719 Sahih]


Allah Ki Neymaton Ko Yaad Karna

Is duniya me jab bhi hum par koi musibat aaye to hum ye tasawur kare kya mere upar sirf gham hi gham hai ya Allah ne mujhe kuch nawaza bhi hai. Allah ki neymaton ko yaad kare aur ho sake to uski neymaton ko bayan kariye. Jab bhi pareshani aaye unke baare me soche jo humse zyadah pareshan hai, jo humse kamtar hain.

"Kya tum log nahi dekhte ke Allah ne zameen aur aasmaano ki saari cheezein tumhare liye musakkhar kar rakkhi hai aur apni khuli aur chupi niyamatein tum par tamaam kar di hain?"
[Quran Surah Luqmaan 31:20]

"Agar tum Allah ki niyamaton ko ginna chaho to gin nahin sakte, haqeeqat yeh hai ke woh bada hi darguzar karne waala aur raheem hai."
[Quran Sura An-Nahl 16:18]

"Aur apne Rubb ki nemat ka izhar karo."
[Quran Surah Az Zuha 93:11]

Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:
"Hmesha apne se kamtar (maal aur jamaal me) logon ko dekha karo, apne se upar ke logon ko dekh kar bhot zyadah rashq na paida kiya karo. Jab tum apne niche aur kamzor logon ko dekhoge to tumhe Allah ki neymaton ki qadr hogi."
[Sahih Muslim: 2963]


Khud Ko Mufid Ilmi Kaam Me Busy Rakhna

Hum apne aap ko kisi mufid kaam me busy rakhte hai to bhi pareshaniyan door hoti hain. Jab kabhi musibatein aaye to apne aap ko khali na rakhe kyun ki kaha jata hai 'khali dimagh shaytan ka ghar hai'. Pareshaniyon me aap Quran ki tafseeron ki tilawat kariye, Rasool Allah (ï·º) ki hadees padhiye, sahaba ikram ki seerat ka mut'ala kariye, koi ilmi kaam ya mufiid kaam kariye. Mufid kamon me mashroof rehne se bhi insan ke zehan ko sukoon milta hai, musibatein halki ho jati hain.


Positive Soch Rakhna

Har chiz ke do pehlu hote hai negative aur positive. Insan ki aadat hai wo negative pehlu ki tarah zyadah dhyan deta hai. Hume apni tawajjoh positive chizon par rakhni chahiye isse apki zindagi aasan ho jayegi aur aap ranj o gham se bach jayege.

Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:
"Khabardar koi momin mard apni biwi se juda na ho (usse alag na ho, use talaq na de, use khud se door na kare). Agar use apni biwi ki koi baat buri lagti hai to zaroor koi na koi baat achchi lagti hogi."
[Sahih Muslim: 1469]


Waqt Ki Qeemat Ko Samajhna

Hum apne awqaat ki, apne waqt ki, apne time ki qadr o qeemat ko samjhe. Islam Allah ka mukarrarkardah deen hai, deen e fitrat hai. Islam ne time ki badi ehmiyat batai hai, hmare yaha paanch waqt ki namazein bhi ape awqaat par hain.

"Phir (Aye Musalmano!) jan tum namaz ada kr chuko toh Allah ko kharray aur baithay aur apne pehlo'on per (lait'tay har haal mein) yaad krte raho, phir jab tum (halat-e-khauf se nikal kr) ittminaan paalo toh namaz ko (hasb-e-dastoor) qaiym kro, beshak namaz momino per muqarrara waqt ke hisaab se farz hai."
[Quran Surah An-Nisa 04:103]

Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:
"Aadmi ka paaon (leg) qayamat ke din uske rab ke pass se nahi hatega, yahan tak ke usse paanch chizon ke baare me puch liya jaye:
1. uski umar ke baare me ke use kaha sarf kiya.
2. Uski jawani ke baare me ke use kaha khapaya.
3. Uske maal ke baare me ke us kaha se kamaya
4. Aur kis chiz me kharch kiya.
5. Uske ilm ke baare me ke usne uspar kaha tak amal kiya.
[Sunan Tirmizi: 2416 zaef]


Pareshaniyon Me Ilm Walon Se Ruju Karna

Musibaton aur takleefon me hum jankar, Ahal-e-ilm, taqwa wale aur samajhdar logon ki taraf ruju kare aur apni musibatein unke samne pesh karein.

Hazrat Khabbab bin Al-Arat 
(رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) se riwayat hai,
Humne Rasool Allah (ï·º) se shikayat ki. App (ï·º) us waqr apni chaddar me tek lagaye qaba ke saye me baithe huye the. Humne aap (ï·º) ki khidmat me arz ki aap hmare liye madad kyun nhi talab farmate? Hmare liye Allah se dua kyun nhi mangte (hum kafiron ki ayezadahi se tang aa chuke hain).
Rasool Allah (ï·º) ne farmaya:
(Imaan lane ki saza me)Tum se pehli ummaton ke logon ke liye gaddha khoda jata aur unhe usme daal diya jata. Phir unke sir par aara rakh kar unke do tukde kiye jaate phir bhi wo apne deen se na firte. Lohe ke kanghe unke gosht me dhasa kar unki haddiyon aur putthon par fere jate phir bhi wo apna imaan na chodte.
Allah ki qasam ye amar (islam) bihi kamal ko pahunchega aur ek zamana ayega ke sawar maqaam sanaye se hizar maut tak safar karega (lekin raston ke puraman hone ki wajah se use Allah ke siwa aur kisi ka dar nhi hoga.YA sirf bhediye ka khauf hoga ke kahin uskibakriyon ko na kha jaye) lekin tum log jaldi karte ho.
[Sahih Bukhari: 3612]


Apne Rishtedaron Se Mashwarah Lena

Hum apni musibaton me apne rishtedar khas taur se agar biwi hai to shauhar se aur shauhar hai to biwi se ruzu kare take wo sahi mashwa de sakein.

Rasool Allah (ï·º) Hazrat Fatima (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡َا) ke paas aaye aur unke daravaaze par ek parda latka hua paaya, to aap (ï·º) andar dakhil nahi hue. jab bhi aap (ï·º) (ghar) mein jaya karte, to sabse pahle unse milane jaate. Itne me 
Hazrat Ali (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) ne aakar dekha ki Hazrat Fatima (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡َا) udaas hai.
Hazrat Ali (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) ne pucha: kya baat hai?
Hazrat Fatima (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡َا) ne jawab diya: Rasool Allah (ï·º) mere paas aaye lekin (ghar) mein dakhil nahi hue.
Hazrat Ali (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) phir aap ke paas aaya aur kaha: Rasool Allah (ï·º), Fatima (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡َا) ko bahut achchha laga ki aap unse milane gaye lekin andar nahin gaye.
Aap (ï·º) ne jawab diya: Mujhe is duniya se kya lena-dena hai? Mujhe nakash o nigar se kya lena-dena hai?
Ye sun kar 
Hazrat Ali (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) Hazrat Fatima (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡َا) ke paas gaya aur unse bataaya ki Rasool Allah (ï·º) ne kya kaha tha.
Unho ne kaha: Jakar Rasool Allah (ï·º) se puchein ke is parde ke mutalluk aap mujhe kya huqm farmate hain?
Aap 
(ï·º) ne farmaya: usse kaho use wo apni fala ko bhej de."
[Sunan Abu Dawood: 4149 Sahih]


Har Pareshani Ke Baad Aasani Hai

Ye baat hmesaha yaad rakhe ke har pareshani ke baad aasani zaroor aati hai. Agar aaj zindagi me pareshani aai hai to pareshan na ho Allah se dua kare, Allah zaroor asani karega.

"Pas haqeeqat yeh hai ke tangi ke saat farakhi bhi hai. Beshak tangi ke saath farakhi bhi hai."
[Quran Surah Alam-Nashra 94:5-6]


Logon Ke Sath Bhalai Karna

Hum Allah ke bandon ke sath bhalai kare, neki ka kaam kare, sadqa aur khairat ke kaam kare, deen ka kaam kare. In kaamon ke zariyah bhi Allah hmari musibaton ko aasan karta hai.

"Inke aksar khufia mashwaroun mein koi bhalai nahi siwaye us shakhs (ke mashwaray) ke joh kisi khairaat ka ya naik kaam ka ya lougo mein sulah kranay ka hukam deta hai aur joh koi ye kaam Allah ki riza joyi ke liye krey toh hum usko anqareeb azeem ajjar atah krenge."
[Quran Surah An-Nisa 04:114]


Logon Se Shukr Ki Ummid Na Rakhana

Duniya me hum kabhi kabhi is liye bhi takleef me ho jaate hai ke hum kisike sath bhalai karte hai aur wo hmare sath burai karte hai. Hame chahiye ke hum kisike sat bhalai kare to Allah ki raza ke liye kare, kisise shukr ki ummid na rakhe na badle ki ummid, aap bhot sari tension se azaad ho jayege.

"Aur unse kehte hai ke (hum tumhe sirf) Allah ki khatir khila rahe hai, hum tum se na koi badla chahte hai na shukriya."
[Quran Surah Al-Insan/ Dahar 76:9]


Quran aur sunnat ki roshni me batai gai in 22 baaton ka agar ham khayal rakhe aur in par amal kare to ham apne gham aur takleefo ko kam kar sakte hain, 

Post a Comment

0 Comments