islamic quiz roman urdu general

islamic quiz roman urdu general

ISLAMIC QUIZ (ROMAN URDU)


QUESTION NO. 1 

Q. Inme se kounsa islami aqeedah Ka lazmi juz Nahi hai?

A. ALLAH ki Wahdaniyat par yaqeen
B. Qiyamat par aqeedah
C. Nabiyaun par iteqaad
D. Jadoogarni par iteqaad


ANSWER: D. Jadoogarni par iteqaad 

Jadoogarni par iteqaad islami aqeedah Ka lazmi juz Nahi hai.


QUESTION NO. 2

Q. Kiya RASOOLALLAH ï·º ke bulane par namaz todh kar aapke paas jana durust hai?

A. Haan
B. Nahi
C. Mushtabihaath
D. Inme se koi nahi


ANSWER: A. Haan

Abu saeed bin mala رضي الله عنه farmate hai,
Mai masjid me namaz padh raha tha mujhe RASOOL’ALLAH ï·º ne awaz di mai ne jawab nah diya (Namaz khatam karke) jab aap ï·º ki khidmat me hazir huaa to arz kiya ya RASOOL’ALLAH ï·º mai namaz padhraha tha (is liye aal saw ke bulane par hazir nah hosaka) aap saw ne irshad farmaya kiya ALLAH ne (QURAN majeed mein) ye hukm nahi diya "logoun ALLAH aur iske rasool ï·º  jab tumhe bulaye to iske hukm ki tameel karo"
[Bukhari-4474]


QUESTION NO. 3

Q. ALLAH ki ita'at RASOOL ï·º ki ita'at kiya dono ek hi darje mein wajib hai?

A. Haan
B. Nahi
C. Sirf ALLAH ki
D. Sirf RASOOL’ALLAH ï·º ki


ANSWER: A. Haan 

"Jo RASOOL ki itaat kare, usne ALLAH ki itaat ki , aur jo ( itaat se) muh pher le to ( aey payghumber ! ) hum ne tumhen inn per nigran bana ker nahi bheja ( kay tumhen inn kay amal ka zimma daar thehraya jaye )"
(Surah Nisa :80)


QUESTION NO. 4

Q. Islam mein nabi kisko kahte hai?

A. Koi aisa shaks jisko naya mazhab mila
B. Koi jo logaun tak ALLAH ki baat pohchana maqsad hota hai
C. Koi jo mazhab tabke ka siyasi rehnuma ban jaye
D. Inme se koi nahi


ANSWER: B. Koi jo logaun tak ALLAH ki baat pohchana maqsad hota hai

Islam mein nabi  wo hai jisko koi nayi shariat nahi milti lekin wo ALLAH ki baataun ko farishton ke zariye hasil karke logon tak ALLAH ki baat pohchana maqsad hota hai.


QUESTION NO. 5

Q. Kiya abhi bhi joote pahen kar namaz padhna sunnat-e-nabawi ï·º hai?

A. Haan
B. Nahi
C. Mushtabihaath me se hai
D. Inme se koi nahi


ANSWER: A. Haan 

Sa`id bin Yazid Al-Azdi ne Anas bin Malik RA se pucha:
Nabi-e-Kareem ï·º apni jutiyan pehan kar namaz padha karte the?
To unhon ne farmaya: Haa
(Bukhari 386)


QUESTION NO. 6

Q. _________ ne (SAHABI) "Hajr e aswad ko mukhatib hokar kaha wallah! Mai jaanta hoon tu ek phattar hai nah nuqsan pohchasakta hai nah nafa desakta?

A. Abu Bakr رضي الله عنه
B. Umar bin Khattab رضي الله عنه 
C. Ali bin abi talib رضي الله عنه
D. Usman bin Farook رضي الله عنه


ANSWER: B. Umar bin Khattab رضي الله عنه 

Abis bin Rabia رضي الله عنه se rivayat hai ki Hazrat Umar رضي الله عنه Hajar-e-Aswad ke pass aaye aur use Bosa diya aur farmaya ki main khub janta hu tu ek paththar hai , na kisi ko Nuksaan pahuncha sakta hai na nafaa, Agar RASOOLALLAH ﷺ ko tujhe Bosa dete huye ( chumte huye) na dekhta to main tujhe kabhi bosa na deta.
(Bukhari 1597)


QUESTION NO. 7

Q. Kiya Safar mein bagair Qiblah  ke namaz ada karna durust hai?

A. Haan
B. Nahi
C. Mushtabihaath me se hai
D. Inme se koi nahi


ANSWER: A. Haan 

Narrated Anas ibn Malik,
RASOOL ALLAH ï·º Jab safar karte or nafil padhne ka iradah karte to apni uthani (camel) Qilba rukh kar lete or Takbeer Kehte fir namaz padhte rehte jab ki apki sawari ka rukh kisi bhi taraf ho jaye.
(Abu Dawood : 1225)


QUESTION NO. 8

Q. ______  ne farmaya, “Na meri Taqleed karo, na Imam Maalik ki, na Imam Shaafi'ee ki, na Imam Awzaa'i ki,
aur na Imam Sufyan Sawri ki, balki tum wahan se masail akhz karo jahan se unhone akhz kiye hain."

A. Imam Ash Shaafi'ee rehmatuLLAH
B. Imam Ahmed rehmatuLLAH
C. Imam Malik rehmatuLLAH
D. Imam Abu Haneefa rehmatuLLAH


ANSWER: B. Imam Ahmed rehmatuLLAH

Imam Ahmad rehmatuLLAH said,
“Na meri Taqleed karo, na Imam Maalik ki, na Imam Shaafi'ee ki, na Imam Awzaa'i ki,
aur na Imam Sufyan Sawri ki, balki tum wahan se masail akhz karo jahan se unhone akhz kiye hain."
[IBN AL-QAIYYIM VOL.2 PAGE302]


QUESTION NO. 9

Q. “Kisi shakhs ke liye ja’iz nahi ki mere qaul ko ikhtiyar kare jab tak ki use yeh na maloom ho ki yeh qaul mene kahan se liya hai."  ye kiska qaul hai?

A. Imam Ash Shaafi'ee rehmatuLLAH
B. Imam Ahmed rehmatuLLAH
C. Imam Malik rehmatuLLAH
D. Imam Abu Haneefa rehmatuLLAH


ANSWER: D. Imam Abu Haneefa rehmatuLLAH

Abu Haneefah rehmatuLLAH kehte hain,
“Kisi shakhs ke liye ja’iz nahi ki mere qaul ko ikhtiyar kare jab tak ki use yeh na maloom ho ki yeh qaul mene kahan se liya hai."
[IBN AABEDEEN HAASHIYATAH ALAL-BAHER-UR RAAIQ VOL.6 PAGE 293]


QUESTION NO. 10

Q. ________ ne farmaya, “Mein to bus ek insaan hun, mujhse (ijtihad mein) kabhi galati bhi hoti hai aur meri baat sahi bhi hoti hai,is liye
tum meri rae per gaur karo, chunancheh jo kuch QURAN
o Sunnat ke mutabiq ho use qubool Kar lo aur jo Kitab o
Sunnat ke mutabiq na ho use tark den."

A. Imam Ash Shaafi'ee rehmatuLLAH
B. Imam Ahmed rehmatuLLAH
C. Imam Malik rehmatuLLAH
D. Imam Abu Haneefa rehmatuLLAH


ANSWER: C. Imam Malik rehmatuLLAH

Malik rehmatuLLAH ne kaha,
“Mein to bus ek insaan hun, mujhse (ijtihad mein) kabhi
galati bhi hoti hai aur meri baat sahi bhi hoti hai,is liye
tum meri rae per gaur karo, chunancheh jo kuch QURAN
o Sunnat ke mutabiq ho use qubool Kar lo aur jo Kitab o
Sunnat ke mutabiq na ho use tark den."
[IBN ABDUL BIR AL-JAAMI VOL.2 PAGE 32] 


QUESTION NO. 11

Q. Nabi-e-kareem ï·º ki kuniyat kya hai?

A. Abu Qasim
B. Abu Hashim
C. Abu Zindan
D. Abu Baseer


ANSWER: A. Abu Qasim

Nabi-e-kareem ï·º ek martaba bazar me theek ek shaks ne pukara ya abul Qasim!
Aap ï·º ne uski taraf dekha. (kyunki aapki kuniyat Abul Qasim thi) uspar us shaks ne kaha maine to usko bulaya tha (yani ek dusre shaks ko jo Abul Qasim ki kuniyat rakhta tha).
Aap ï·º ne farmaya, Tum log mere naam pe naam rakha karo lekin meri kuniyat tum apne liye na rakho.
(Sahi Bukhari:2120)


QUESTION NO. 12

Q. Jo aurat is haal me faut ho ke uska shauhar usse raazi ho to wo zaroor _______ me dakhil hogi?

A. Qabar me
B. Jannat me
C. Jahannam me
D. Kahi nahi


ANSWER: B. Jannat me

Hazrat umm salma farmai hai ke, Nabi-e-kareem ï·º ne farmaya,
"Jo aurat is haal me faut ho ke uska shauhar usse raazi ho to wo zaroor jannat me dakhil hogi. "


QUESTION NO. 13

Q. Kis nabi ke daur me sabse pehle imaan walon ke liye lafz 'muslim' istemal hua?

A. Hazrat Aadam AS
B. Hazrat Nooh AS
C. Hazrat Ibrahim AS
D. Hazrat Muhammad ï·º


ANSWER: C. Hazrat Ibrahim AS 

And the same did Ibrahim enjoin on his sons and (so did) Yaqoub. O my sons! surely Allah has chosen for you (this) faith, therefore die not unless you are muslims.
(Surah Bakrah :132)


QUESTION NO. 14

Q. Khala ko kya darja hasil hai?

A. Maa ke barabar
B. Behan ke barabar
C. Naani ke barabar
D. Daadi ke barabar


ANSWER: A. Maa ke barabar

Ek Shaksh RASOOLL’ALLAH ï·º Ke Baargah Me Hazir Hua Aur Arz Kiya Ke, “Ya RASOOLL’ALLAH ï·º Mujhse Bohot Bada Gunaah Ho Gaya Hai! Kya Mere Liye Tauba Hai ?”
Aap ï·º Ne Farmaya: “Kya Tumhari Maa (Zinda) Hain?
Usney Kaha: “Nahi”
Aap ï·º Phir Farmaya: “Kya Tumhari Khala Hain? ”
Usney Kaha: “Ji Haan”
To Aap ï·º Ne Aagey Farmaya aur Kaha:
“Phir Unke Saath HUSN-E-SULOOQ (Respectful Behaviour) Karo ,..”
– [Tirmizi-1966 (Sahih)]

RASOOLL’ALLAH ï·º Ne Farmaya:
“Khala (Ka Darja) Maa Ki Tarah Hai…”
[Tirmidhi-1965 (Sahih)]


QUESTION NO. 15

Q. QURAN me muzammil or mudassir keh kar kis nabi ko khitab kiya gaya hai?

A. Hazrat Aadam AS
B. Hazrat Nooh AS
C. Hazrat Ibrahim AS
D. Hazrat Muhammad ï·º


ANSWER: D. Hazrat Muhammad ï·º

QURAN me muzammil or mudassir keh kar Hazrat Muhammad ï·º ko khitab kiya gaya hai.


QUESTION NO. 16

Q. Bani Israil ke akhri nabi ka kya naam hai?

A. Hazrat Musa AS
B. Hazrat Nooh AS
C. Hazrat Isa AS
D. Hazrat Muhammad ï·º


ANSWER: C. Hazrat Isa AS

Bani Israil ke akhri nabi ka naam Hazrat Isa AS hai.


QUESTION NO. 17

Q. Wo kya hai jise log sabse pehle Islam me halal bana lenge?

A. Bidat
B. Sood
C. Zkna
D. Sharab


ANSWER: D. Sharab

Hazrat Aisha RA Se Riwayat Hai ke Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Pahli Cheez Jise Islam (ke hukmo) se nikal diya jayega woh Sharab hai (Yani iske Bare mein Islam ke Hukum ki Parwah nahi Ki Jayegi aur isko halal bana diya jayega)

Kaha Gaya: Ya Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ye kaise Hoga ? Halanke ALLAH Taala ne Puri Wazahat Farma Di hai Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Woh Iska Naam Tabdeel kar denge (Aur phir isko pine lag jayenge)
(Al Silsila Shaiha -2543)


QUESTION NO. 18

Q. Shaytan hame kis chiz se darata hai?

A. Gunah se
B. Miflisi se
C. Maut se
D. Geebat se

ANSWER: B. Miflisi se

Shaytan hame Miflisi se darata hai.


QUESTION NO. 19

Q. Hijrat ke safar me aap ï·º ke sath kon tha?

A. Hazrat Abu Bakr RA
B. Hazrat Umar RA
C. Hazrat Usman RA
D. Hazrat Hamza RA

ANSWER: A. Hazrat Abu Bakr RA

Hijrat ke safar me aap ï·º ke sath Hazrat Abu Bakr RA the.


QUESTION NO. 20

Q. RASOOL ALLAH ï·º ne kab safar karne ko kaha hai?

A. Subah me
B. Dopahar me
C. Sham me
D. Raat me


ANSWER: D. Raat me

Rasool ALLAH ï·º ne farmaya,
Raat me safar kiya karo kyun ki zameen raat me lapet di jati hai (safar aasan rehta hai).
(Abu Dawood: 799 sahih) 


QUESTION NO. 21

Q. Zameen par chalne firne wale tamam ______ ki rozi ALLAH ne apne zimme le rakhi hai?

A. Jandaron
B. Fasiqon
C. Momino
D. Musalmano


ANSWER: A. Jandaron

"Or zameen par chalne wala koi jandar aisa nahi hai, jiska rizk ALLAH ne apne zimme na le rakha ho."
(Surah Hood: 06)


QUESTION NO. 22

Q. ALLAH ne Hazrat Aadam AS ko paida karne se pehle kis se farmaya ke zameen par apna khaleefa banane wala hon?

A. Insano se
B. Huron se
C. Farishton se
D. Jinno se


ANSWER: C. Farishton se

Aur ( uss waqt ka tazkarah suno ) jab tumhare perwerdigar ney farishton say kaha kay mein zameen mein aik khalifa bananey wala hun ,   woh kehney lagay: kiya aap zameen mein aesi makhlooq peda keren gay jo uss mein fasad machaye , aur khoon kharaba keray , halankay hum aap ki tasbeeh aur hamd o taqdees mein lagay huye hain ? ALLAH ne kaha: mein woh baaten janta hun jo tum nahi jante.
(Surah bakrah:30)


QUESTION NO. 23

Q. Hadees ke mutabik, wada pura na karne wale ke liye _______ hai.

A. Sukoon
B. Nuksaan
C. Barbadi
D. Aman


ANSWER: C. Barbadi

Nabi-e-kareem ï·º ne farmaya,
Wada pura na karne wale ke liye barbadi hai.


QUESTION NO. 24

Q. ALLAH ne insan or jinn Q paida kiye?

A. Khayanat karne ke liye
B. Ibadat karne ke liye
C. Zulm karne ke liye
D. Neki ke liye


ANSWER: B. Ibadat karne ke liye

"Aur mein ney jinnaat aur insanon ko iss kay siwa kissi aur kaam kay liye peda nahi kiya kay woh meri ibadat keren."
(Surah zariyat:56)


QUESTION NO. 25

Q. ALLAH ne Hazrat Aadam AS ko Farishton ke sajde ke sath aur or kis khas ayezaz se nawaza tha?

A. Ilm ki daulat
B. Aulad ki nematin se
C. Jannat ki nematon se
D. Duniya ki nematon se


ANSWER: A. Ilm ki daulat

"Aur Adam AS ko (ALLAH ne) sare ke sare naam sikha-diye, phir unn ko farishton kay samney paish kiya aur ( unn say ) kaha : agar tum sachay ho to mujhay inn cheezon kay naam to batao."
"woh bol uthay : aap hi ki zaat pak hai , jo kuch ilm aap ney hamen diya hai uss kay siwa hum kuch nahi jantay . haqeeqat mein ilm o hikmat kay malik to sirf aap hain."
(Surah bakrah: 31-32)


QUESTION NO. 26

Q. Jis fal (fruit) ko ALLAH ne jannat me khane se mana kiya tha wo fal sabse pehle kisne khaya?

A. Farishton ne
B. Iblees ne
C. Hazrat Aadam AS aur Hazrat Hawwa AS ne
D. Kisine nahi


ANSWER: C. Hazrat Aadam AS aur Hazrat Hawwa AS ne

aur aey Adam ! tum aur tumhari biwi dono jannat mein raho , aur jahan say jo cheez chahao , khao . albatta iss ( khaas ) darkht kay qareeb bhi matt phatakna , werna tum ziyadti kernay walon mein shamil hojao gay . 
phir huwa yeh kay shetan ney unn dono kay dil mein waswasa daala , takay unn ki sharam ki jaghen jo unn say chupai gaee then , aik doosray kay samney khol dey .   kehney laga kay : tumharay perwerdigar ney tumhen uss darkht say kissi aur wajeh say nahi , balkay sirf iss wajeh say roka tha kay kahen tum farishtay naa ban jao , ya tumhen hamesha ki zindagi naa hasil hojaye .   
aur unn kay samney woh qasmen kha gaya kay yaqeen jano mein tumharay khair khuwahon mein say hon .
iss tarah uss ney dono ko dhoka dey ker neechay utaar hi liya .   chunacheh jab dono ney uss darkht ka maza chakha to unn dono ki sharam ki jaghen aik doosray per khul gaeen , aur woh jannat kay kuch pattay jorr jorr ker apney badan per chipkaney lagay .
(Surah Ayeraf : 19,20,21,22)


QUESTION NO. 27

Q. Jo shaks kisi ko qatal kare (jabke ye qatal na kissi aur jaan ka badla lene ke liye ho aur naa kisike zameen mein fasad phelane ki wajeh se ho) to ye aisa hai jaise usne tamam insanon ko _______ kerdiya , aur jo shaks kisiki jaan bachale to ye aisa hai jaise usne tamam insanon ki ________ bachali .

A. Qatal, Qatal
B. Jaan, Jaan
C. Jaan, Qatal
D. Qatal, Jaan


ANSWER: D. Qatal, Jaan

"Issi wajeh se humne bani Israel ko yeh farman likh diya tha kay jo koi kissi ko qatal keray ,
jabkay yeh qatal naa kissi aur jaan ka badla lenay kay liye ho aur naa kissi kay zameen mein fasad phelaney ki wajeh say ho ,
to yeh aisa hai jaisay uss ney tamam insanon ko qatal kerdiya ,
aur jo shaks kissi ki jaan bachaley to yeh aisa hai jaisay uss ney tamam insanon ki jaan bachali .
aur waqiaa yeh hai kay humaray payghumber inn kay paas khuli khuli hidayaat ley ker aaye ,
magar uss kay baad bhi unn mein say boht say log zameen mein ziyadtiyan hi kertay rahey hain."
(Surah Maeeda: 32)



QUESTION NO. 28

Q. Hazrat Aadam AS ke wafat ke waqt unki umar kitni thi?

A. 510
B. 800
C. 960
D. 1000

ANSWER: C. 960

Hazrat Aadam AS ke wafat ke waqt unki umar  960 saal thi.


QUESTION NO. 29

Q. Hazrat Aadam AS ne apni umar ke 40 saal kis nabi ko diye?

A. Hazrat Ibrahim AS
B. Hazrat Musa AS
C. Hazrat Daood AS
D. Hazrat Yaqub As

ANSWER: C. Hazrat Daood AS

Hazrat Aadam AS ne apni umar ke 40 saal Hazrat Daood AS ko diye.


QUESTION NO. 30

Q. ALLAH ne Hazrat Aadam AS ko kis chiz se paida kiya?

A. Aag se
B. Mitti se
C. Patthar se
D. Paani se


ANSWER: B. Mitti se

ALLAH ne kaha jab maine tujhe huqm diya tha to tujhe sajdah karne se kis chiz ne roka?
Wo (Iblees) bola: Mai usse behtar hoon. Tune mujhe aag se paida kiya aur usko (Hazrat Aadam AS) ko mitti se paida kiya."
(Surah Ayeraf:12)


QUESTION NO. 31

Q. Kisne Hazrat Aadam AS ko sajdah nahi kiya?

A. Farishton ne
B. Iblees ne
C. Insano ne
D. Janwaron ne


ANSWER: B. Iblees ne

"Aur humne tumhe paida kiya, phir soorat banai, phir farishton se kaha ke: Aadam ko sajdah karo. Chunanche sabne sajdah kiya, siwaye Iblees ke wo sajdah karne walon me shamil na hua."
(Surah Ayeraf: 11)

QUESTION NO. 32

Q. Islam ki buniyad kitni chizon par qayam ki gai hai?

A. 3
B. 5
C. 7
D. 11


ANSWER: B. 5

Islam ki buniyad 5 chizon par qayam ki gai hai.
1. Gawahi dena ke ALLAH ke siwa koi mabood nahi or Beshak Muhammad ï·º ALLAH ke sachche rasool hain.
2. Namaz qayam karna
3. Zakat ada karna
4. Hajj karna
5. Ramzan ke roze rakhna
(Bukhari - 8)


QUESTION NO. 33

Q. Musalman wo hai jiski ______ or ______ se musalman bacha rahe.

A. Zubaan 
B. Haath 
C. Imaan
D. Zubaan, Haath 


ANSWER: D. Zubaan, Haath 

Musalman wo hai jiski zuban or hath se musalman bache rahe or muhajir wo hai jo un kaamon ko chhor de jinse ALLAH ne mana farmaya.
(Bukhari - 10)


QUESTION NO. 34

Q. Dojakh me zyadatar aurtein kon si hongi?

A. Jo kufr karti hain
B. Jo Khwand ki nashukri karti hain
C. Jo ehsan ki nashukri karti hain
D. Sab sahi hai


ANSWER: 
D. Sab sahi hai

Hazrat Ibn e Abbas r.a. Se Riwayat hay, Unho Ne Kaha: Nabi Akram ï·º Ne Farmaya:" May Maine Dozakh Dekhi To Wahan Aksar Aurten Thi(Kyun Ke) Wo Kufr Karti Hay." Logo Ne Kaha: Kya Wo Allah Ke Saath Kufr Karti Hay? Aap Ne Farmaya:" Nahi Balke Wo Apne Khawind Ka Kufr Karti Hay. Wo Yun Ke Agar Tu Saari Umar Aurton Ke Saath Achcha Sulook Kare, Fir Wo Mamuli Se (Nagawar) Baat Tujhme Dikhe. To Kahne Lagti Hay Ke Mujhe Tujhse Kabhi Aaraam Nahi Mila.
(Bukhari - 29)


QUESTION NO. 35

Q. Jab do musalman apni apni talwar le kar bhid jaye to, unme se kon dozakhi hai?

A. Qatil
B. Maqtool (jiska qatal hua)
C. Dono
D. Koi nahi


ANSWER: 
C. Dono

Hanif Bin Qasim Ka Bayan Hay Ke May Us Shakhs(Hazrat Ali) Ki Madad Ke Liye Chala. Raste Me Mujhe Abu Bakar r.a. Mile. Unho Ne Pucha: Kaha Ka Irada Hay? Maine Kaha: Mera Irada Us Shakhs Ki Madad Karne Ka Hay.Unhone Farmaya: Wapas Ho Jao, Maine Rasool ï·º Ko Ye Farmate Huy Suna Hay:" Jab Do Musalman Apni Apni Talware Le Kar Aapas Me Lad Pade To Kaatil Aur Maktool Dono Jahannami Hay." Maine Arz Kiya: Aye ALLAH Ke Rasool! Ye To Jaatil Hay(Iska Jahannami Hona Samjh Me Aata Hay) Lekin Maktool Ka Kya Jurm Hay? Aap Ne Farmaya:" Iski Khwahish Bhi Dosre Saathi Ko Katal Karne Ki Thi."
(Bukhari - 31)


QUESTION NO. 36

Q6. Sabse bada zulm kon sa hai?

A. Gheebat
B. Bid`at
C. Shirk
D. Takabbur


ANSWER: 
C. Shirk

Hazrat Abdullah Bin Masood r.a. Farmate Hay: Jab Ye Ayat Utri: Jo Log Iman Laay Aur Unhone Iman Ko Zulm Ke Saath Aaluda Nahi Kiya Wahi Log Hay Jinke Liye Aman Hay Aur Wahi Hidayat Yafta Hay. " To Nabi ï·º Ke Sahaba e Kram r.a. Ne Kaha: (Aye ALLAH Ke Rasool!) Hum Me Se Kon Aisa Hay Jisne Zulm Nahi Kiya? Tab ALLAH Tala Ne Ye Ayat Utaari:"Beshak Shirk Zulm e Azim Hay."
(Bukhari - 32)


QUESTION NO. 37

Q. Munafikon ki pehchan kya hai?

A. Jhooth bolna
B. Wadakhilafi
C. Baimani
D. Sab sahi hai


ANSWER: 
D. Sab sahi hai

"Munafik Ki Teen(3) Nishaniyan Hay: 
1. Jab Baat Kahe To Jhoot Bole, 
2. Jab Wada Kare To Khilaaf Warzi Kare Aur 
3. Jab Iske Pass Amanat Rakhi Jaay To Khayanat Kare."
(Bukhari - 33)


QUESTION NO. 38

Q. RASOOLALLAH ï·º ne kitne maah (month) tak Baitul-Maqdis (Jerusalem) ki taraf rukh karke namaz parhi?

A. 11- 12 maah tak
B. 13- 14 maah tak
C. 15- 16 maah tak
D. 16- 17 maah tak


ANSWER: 
D. 16- 17 maah tak

Hazrat Baraa Bin Aazab r.a. Se Riwayat Hay Ke Nabi ï·º Jab (Hijrat Karke) Madina Tashreef Laay To Pahle Aapne Nanihaal Me Utre, Jo Ansaar Se The, Aur (Madine Me) Solah(16) Ya Satrah(17) Mahine Bait Ul Muqaddas Ki Tarf Muh Karke Namaz Padhte Rahe. Albatta Ap Chahte The Ke Aap Ka Qibla Kaabe Ki Taraf Hojay (Chunancha Hogaya), Aur Pahli Namaz Aapne (Kaabe Ki Tarf) Padhi, Wo Asar Ki Namaz Thi Aur Aapke Humraah Kuch Aur Log Bhi The. Fir Inme Se Ek Shakhs Nikla Aur Kisi Masjid Walon Ke Pass Se Is ka Guzar Hua, (Wo Bait Ul Muqaddas Ki Taraf Muhh Kiye Huy) Ruku Ki Haalat Me The Fir Isne Kaha: May Allah Ko Gawah Bana Ke Kahta Hun Ke Maine Rasool ALLAH ï·º Ke Humraah Makke Ki Taraf Namaz Padhi Ye Sunte Hi Wo Log Jis Halat Me The Usi Halat Me Bait Ullah Ki Taraf Firgaye. Aur Jab Aap Bait Ul Muqaddas Ki Taraf Muhh Karke Namaz Padhte The To Yahoodi Aur Doosre Ahle Kitab(Nasara) Bahot Khush Hote The Lekin Jab Aapne Ne Apna Muhh Bait Ullah Ki Taraf Fer Liye To Ye Unhe Bahot Nagawar Guzra.
(Bukhari - 40)


QUESTION NO. 39

Q. Sabse pehli namaz jo RASOOLALLAH ï·º ne  kaba rukh karke padhi, wo kon se waqt ki namaz thi?

A. Fajar
B. Zohar
C. Asar
D. Isha


ANSWER: 
C. Asar

Hazrat Baraa Bin Aazab r.a. Se Riwayat Hay Ke Nabi ï·º Jab (Hijrat Karke) Madina Tashreef Laay To Pahle Aapne Nanihaal Me Utre, Jo Ansaar Se The, Aur (Madine Me) Solah(16) Ya Satrah(17) Mahine Bait Ul Muqaddas Ki Tarf Muh Karke Namaz Padhte Rahe. Albatta Ap Chahte The Ke Aap Ka Qibla Kaabe Ki Taraf Hojay (Chunancha Hogaya), Aur Pahli Namaz Aapne (Kaabe Ki Tarf) Padhi, Wo Asar Ki Namaz Thi Aur Aapke Humraah Kuch Aur Log Bhi The. Fir Inme Se Ek Shakhs Nikla Aur Kisi Masjid Walon Ke Pass Se Is ka Guzar Hua, (Wo Bait Ul Muqaddas Ki Taraf Muhh Kiye Huy) Ruku Ki Haalat Me The Fir Isne Kaha: May ALLAH Ko Gawah Bana Ke Kahta Hun Ke Maine Rasool ALLAH ï·º Ke Humraah Makke Ki Taraf Namaz Padhi Ye Sunte Hi Wo Log Jis Halat Me The Usi Halat Me Bait Ullah Ki Taraf Firgaye. Aur Jab Aap Bait Ul Muqaddas Ki Taraf Muhh Karke Namaz Padhte The To Yahoodi Aur Doosre Ahle Kitab(Nasara) Bahot Khush Hote The Lekin Jab Aapne Ne Apna Muhh Bait Ullah Ki Taraf Fer Liye To Ye Unhe Bahot Nagawar Guzra.
(Bukhari - 40)


QUESTION NO. 40

Q. Koi shaks jab apne Islam ko umdah banale (nifak or riyah se paak kar le) to har neki par _____ se _____ guna tak neki likhi jati hai.

A. 10, 100
B. 100, 300
C. 10, 700
D. 100, 900


ANSWER: 
C. 10, 700

"Jab Tum Me Se Koi Apne Islam Ko Achcha Kare To Har Achchai Jis Ko Bajaa Lega, Das(10) Guhan Se Saat Sao(700) Gunah Tak Likhi Jaaygi Aur Har Wo Bura Kaam Jo Karta Hay Wo Utna Hi Likha Jaayga(Jitna Usne Kiya Hay)."
(Bukhari - 42)


QUESTION NO. 41

Q. ALLAH ko deen ka kon sa amal sabse ziyadah pasand hai?

A. Zyada namaz padhi jaye
B. Zyada ibadat ki jaye
C. Jiski pabandi ki jaye
D. Jo thode waqt ke liye ho


ANSWER: 
C. Jiski pabandi ki jaye

Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Nabi Akram ï·º Ek Martaba Inke Pass Tashreef Laay, Wahan Ek Aurat Baithi Hui Thi, Aap Ne Pucha: "Ye Kon Hay?" Hazrat Aisha r.a. Ne Kaha:" Fala Aurat Hay Aur Iski (Kasrat) Namaz Ka Haal bayan Karne Lagi. Aap Ne Farmaya:"Ruk Jao! Tum Apne Zimme Sirf Wahi Kaam Lo Jo(Humesha) Karsakte Ho. ALLAH Ki Qasam! ALLAH Tala Sawab Dene Se Nahi Uktata Tum Hi Ibadat Karne Se Thak Jaoge. Aur ALLAH Tala Ko Sab Se Zyada Maheboob, Wo Kaam Hay Jiska Karna Wala Ispar Humeshgi Kare."
(Bukhari - 43) 

Post a Comment

0 Comments