HERACLIUS KI KAHANI
Abdullah bin Abbas se Abu Sufiyan bin Harb ne ye waqya bayan kiya ki Heraclius (badshaah roomi) ne un ke paas Quresh ke qafile mai ek aadmi bulane ko bheja aur us waqt ye log tijarat ke liye mulk e Shaam gaye huye the aur ye woh zamana tha jab RasoolALLAH ï·º ne Quraish aur Abu Sufiyan se ek waqti ahad kiya hua tha.
Jab Abu Sufiyan aur dusre log Heraclius ke paas Ilya (Jerusalem) pahuche jaha Heraclitus ne darbaar talab kiya tha. Us ke aas paas Roomi ke bade bade log bethe huye the, Heraclius ne unko aur apne tarjuman ko bulaya.
Fir unse pucha ke tum mai se kon shaks us shaks ka zyada qaribi aziz hai jo Nubuwat ka dawa kar raha hai?
Abu Sufiyan kahte hai ki mai bol utha ki mai uska sab se zyada qaribi rishtedaar hun.
(ye sun kar) Heraclius ne hukm diya ke isko (abu sufiyan ko) mere qarib laa kar baithao aur us ke saathiyon ko us ki pith ke piche baitha do, fir apne tarjumaan se kahaa ki un logo se keh do ki mai Abu Sufiyan se us shaks (yani Muhammad ï·º) haalat puchta hu, agar ye mujh se kisi baat mai jhoot bol de to tum zahir kar dena.
(Abu sufiyan ka qauol hai ki) Khuda ki qasam! Agar mujhe ye ghairat naa aati ke ye log mujh ko jhutlaenge to Mai Aapï·º ki nisbat zaroor galat bayani karta.
Pahla sawal jo Heraclius ne mujh se puchi woh yeh ki us shaks ka khandaan tum logo me kaisa hai?
Usne kaha, Is se pahle bhi kisi ne tum logo me aisi baat kahi thi?
Maine kahaa, Nahi.
Usne kaha, Aacha us ke bado me koi Badsaah hua hai?
Maine kaha, Nahi.
Fir usne kaha, Bade logo ne us ki pairwi ikhteyar ki hai ya kamzoron ne?
Maine kaha, Nahi, Kamzoro ne.
Fir usne kaha, Us ke Tabedaar roz badhte jate hai ya ghat-te jate hai ?
Maine kaha, Badhte.
Usne kaha, Kya koi shaks jo uske Deen me dakhil hota hai wo mayus hota hai aur us Deen ko baad me chor deta hai?
Maine kaha, Nahi.
Usne kaha, Kya apne is dawa e Nubuwat se pahle kabhi usne jhoot bola hai ?
Maine kaha, Nahi.
Usne kaha, Kya wo apne wado ko todta hai?
Maine kaha, Nahi.
Heraclius ne pucha, Kya Tumhari usse kabhi ladaii (jung) hui hai?
Maine kahaa, Haan.
Heraclius ne pucha, Woh tumhe kis baat ka hukm deta hai?
Maine kaha, Woh kahta hai ki Sirf ek Allah ki ibadat karo, uska kisi ko sharik na banao aur apne Aaba wa ajdaad ki saari baate chhor do. Wo hame namaz padhne, sach bolne, parhez gaari aur ristedaro ke sath sila rahmi karne ka hukm deta hai .
(Ye sab sun kar) Fir Heraclius ne apne tarjumaan se kaha ke Abu Sufiyan se keh do ki maine tumse uska nasab pucha to tumne kahaa ki woh ham me Aala Nasab wala hai aur paigambar Apni Qaum me aala nasab hi bheje jaya karte hai.
Maine tum se pucha ki (dawa e nabuwat ki) ye baat tumhare andar usse pahle kisi aur ne bhi kahi thi, to tumne jawab diya ki nahi. Tab maine (apne dil mai) kaha ki agar ye baat usse pahle kisi ne kahi hoti to mai samjhta ki us sakhs ne bhi usi baat ki taqleed ki hai jo pahle ki jaa chuki hai.
Maine Tumse pucha ki uske bado me koi Badsaah bhi guzra hai toh tumne kahaa, Nahi. Toh maine (dil mai) kaha ki unke Buzurgon mai se koi badsaah hua hoga to kah dunga ki woh sakhs apne aaba wa ajdaad ki badshahat aur un ka mulk (dobara) hasil karna chahta hai.
Aur maine Tumse pucha ki us baat ke kahne (yani peghambari ka dawa karne) se pahle tum ne kabhi uspar Jhut ka ilzaam lagaya hai?
Aur Maine tumse pucha ki bade log uski tabedaar hote hai ya kamzor log, toh Tumne kaha kamzoro ne uski itteba ki hai, toh (dar asal) yahi log paigmbaro ke mutb'bain hote hai.
Aur maine tumse pucha ki us ke saathi badh rahe hai ya kam ho rahe hai, Tumne kaha ke badh rahe hai, aur hatta ke sacchi imaan ki kaifiyat yahi hoti hai hatta ki woh kamil ho jata hai.
Aur maine tum se pucha kya koi shakhs us ke Deen se naa-khush ho kar murtad bhi ho jata hai. Tumne kahaa nahi, toh imaan ki khasiyat bhi yahi hoti hai ke iski chashni jab Dil me sama jati hai to fir nikalti nahi.
Aur maine Tum se pucha ki kya woh kabhi wada khilafi karte hai,
Aur maine Tumse kaha ki woh tum se kis cheez ke liye kahte hai,
Fir usko padha to us mai (likha tha ),
"ALLAH ke naam ke saath jo nihayat maherban aur raham karne wala hai, ALLAH ke bande aur us ke paigambar Muhammad RasoolALLAH ï·º ki taraf se ye khat hai saah room ke liye us sakhs par salam ho jo hidayat ki pairwi kare. Iske baad mai aap ke saamne dawat e Islam pesh karta hu agar aap Islam le aayenge to (din o duniya mai) salamati nasib hogi. ALLAH aapko dohra sawab dega aur agar aap (meri dawat se) inkar karenge to aap apne Kisano (peasants) ko gumrah karne ke sabab gunahgaar aap hi honge. (Aur mai apko ALLAH ka kalaam sunata hu). Aye ahle kitab! Ek aisi baat par aa jaao jo hamare aur tumhare darmiyan aiksan hai woh ye ki ham ALLAH ke siwa kisi ki ibadat na kare aur kisi ko uska shareek na tharayen aur na ham mai se koi kisi ko ALLAH ke siva apna Rab banaye. Fir agar woh ahle kitab (is baat se) muh fer len to (muslmano!) Tum un se keh do ki (tum mano ya na mano) ham Musalman hai."
(QURAN 3:64)
- Narrated by Abdullah bin Abbas
- sub narrated by Ibn An-Natur
- Sahih al-Bukhari, 7
- Vol. 1, Book 1 , Hadith 7.
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.