Eid Ki Sunnatein Aur Namaz Ka Tareeqa

Eid ki sunnatein aur namaz ka tareeqa


Eid Ki Sunnatein, Namaz Ka Tareeqa Aur Khawateeno Ka Eidgaah Jana



Chand Dekhna


Rasool Allah ﷺ ka farman hai chand dekh kar roza mouqoof karo. Kabi ramzan ka chand 29 ka hota hai to kabhi 30 ka. Agar 29 ka chand na dikhe to ramzan ka pura 30 kare. Aqsar aasman me badal hone ki wajah se Chand nazar nahi aata aisi surat me apne Shaher ke Qazi ke Ailaan ka intezaar kare ke wo kya ailaan karte hai unhe is talluk se koi sharai gawahi hasil huwi yaa nahi aur unke faisle ka intezar karein.

Hazrat Abdullah Ibn Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai:
Wo Kahte Hai Maine Rasool Allah ﷺ Se Suna Aap ﷺ Ne Farmaya Ke Jab Ramzan Ka Chand Dikhe To Roza rakho aur Jab jab tum (shawwal ka) chand dekho toh roza mouqoof kro,agar mtalaa abr aalood ho toh iss ke liye andaza krlo ”
[Sahih Bukhari: 1900]


Hazrat Abdullah Ibn Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai:
Rasool Allah ﷺ ne Ramzan Al mubarak ka zikar kiya aur farmaya roza na rakho hatta ke chand dekh lo aur us waqt tak roze rakhna band na kro hatta k chand dekh lo phir agar tum per badal cha jaye toh andaza (kar k mahina poora) kro.
[Sahih Bukhari: 1906]




Sadqa-E-Fitr Ya Sadqa-E-Ramadan


Sadqa e fitr ya Sadqa e Ramadan har muslman par farz hain.

Rasool Allah ﷺ ne farmaya,
"Sadqa e fitr ya kaha Sadqa e Ramadan mard aurat, azad aur gulam sab par farz qarar diya."
[Sahih Bukhari: 1511]

Hazrat Anas  رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai ke:
Hazrat Abu Bakar Siddique رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ  ne jab unhe (zakat wasool karne k lia) bahrain ki janib rawana kia to yah dastaweez likh kar diya tha;

"Shuro Allah ke naam se jo bara meharban nihayat raham karne wala hai, Yah ahkam-e-sadqa hain jo Rasool Allah ﷺ nay musalmano ke lia muqarar farmae hain or jin ke mutaliq Allah Tala ne apne Rasool ﷺ ko hukum dia hai, laihaza jis musalman se is tahreer ke mutabiq zakat ka mutalba kia jae woh use ada kare or jis se ziada ka mutalba kia jae woh izafa ada na kare."
[SahihBukhari: 1454]



Kya Eid Ke Din Mard Aur Auraton Ke Liye Gusal Zaroori Hai?


Eid ke din mard aur aurat sab par gusal wajib nahi balke mustahab (afzal) hai. Eid-ul-Azah ho ya eid-ul-fitr ho gusal karna mard aur aurat sabke liye mustahab hai.
[By Sheikh Shameem Salafi, Qatar]

Hazrat Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se rawayat hai:
"Juma, Arfa, Qurbani aur Eidul Fitr ke din Gusul Karna Chhaiye."
[Bayhaqi : 3/278]

Ibn Abbas se rivayat hai,
Rasool Allah Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Zoha ke din gusal karte.
[Ibn Majah: 1315, Sahih]



Eid Ke Din Achche Kapde Pehanna


Apne paas jo kapde mojud hon in mein se sab se ache kapde pehanna magar mard aur ladke resham ke kapre na pahne (ya Naye kapde pehene).

Hazrat Abdullah Ibn Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai:
Hazrat Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne ek reshmi jubba liya Jo bazar me farokht ho raha tha phir ise le kar Rasool Allah ﷺ ki khedmat me hazr hue. Arz kiya, Allah ke Rasool ﷺ ! Aap ise khareed le take eid ke din aur wafud ki aamad ke waqt zeb tan farma kar khud ko aarasta kiya kare.
Aap ﷺ ne farmaya,"Ye to in logo ka lebas hai jinka Akherat me koi hessa nahe "
Hazrat Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ jis qadar Allah ko manzur tha tahre rahe,
Phir Rasool Allah ﷺ ne inke paas ek reshmi jubba bheja,
Phir Hazrat Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ise lekar Aap ﷺ ki khedmat me haazer huwe aur arz kiya, "Ya Rasool Allah ﷺ aap ne to Farmaya tha ke,
"Ye in logo ka libas hai jin ka Akhirat me koi hissa nahe hai".
Iske bawajood aap ne jubba mere yaha bhej diya?
Rasool Allah ﷺ ne Hazrat Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se farmaya,
"Ise farokht kar ke apni koi zaroorat pure kar lo".
[Sahih Bukhari: 948]



Eid Ki Namaz Ke Liye Azaan Aur Khutba


Azaan:

Hazrat Ibn Abbas  رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne Hazrat Zubair  رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke pass ek shaks ko us zamane me bheja jab (Shuru shuru unki khilafat ka zamana tha, aap ne kehlaya) Eid-ul-Fitr ki namaz ke liye azan nhi di jati thi aur khutba namaz ke baad hota tha.
[Sahih Bukhari: 959]

Bin Abdullah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai: 
Maine Rasool Allah ﷺ ke saath Eid ki Namaz Padhi Aap ne Baghair Adhan Aur Takbeer ke, Khutbe se Pahle Namaz Padhai.
[Sahih Muslim: 775]

Khutba:

Rasool Allah ﷺ, Abu Bakr رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ, Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ wa Uthman رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Pahle Namaz Padhte Fir Khutba dete.
[Sahih Bukhari: 774]

Abdullah bin Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai:
Rasool Allah ﷺ Eid-ul-fitr aur Eid-ul-zoha ki namaz pehle padhte fir namaz ke baad khutba dete.
[Sahih Bukhari: 957]



Eid Ki Namaz Ke Lie Ghar Se Kuch Kha Ke Nikalna


Anas bin Malik رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai:
Rasool Allah ﷺ Eid-ul-fitr ke din na nikalte jab tak ke chand khajoorein na kha lete.
[Sahih Bukhari: 953]



Eidain (Salat Al-Eid) Ki Namaz Me Takbeeraat Ki Tadaad Kitni Hogi?


Eid ki namaz do rakat hain. Isme 12 zayad (extra) takbeerein hai. 7 takbeerein pehli rakat me aur 5 dusri rakat me. Ye takbeerein "Takbeeratein Zawaid" kehlati hain. Ye sunnat hai, farz ya wajib nahi hai. inke chhot jane se bhi namaz ho jayegi.

Kathir bin ‘Abdullah bin ‘Amr bin ‘Awf se riwayat hai:
Rasool Allah ﷺ ne eid ki pehli rakat me saat (7) takbeerein aur dusri rakat me paanch (5) takbeerein kahi.
[Ibn Majah: 1279 (Sahih), Tirmizi: 536 (sahih)]

Hazrat Ayesha رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا se riwayat hai:
Rasool Allah ﷺ Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Zoha me rukuh ki takbeeron ke alawah saat (7) aur paanch (5) takbeerein kahin.
[Ibn Majah: 1280 (Sahih)]

Hazrat Ayesha رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا se riwayat hai:
Rasool Allah ﷺ Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Zoha ki pehli rakat me saat (7) takbeerein aur dusri rakat me paanch (5) takbeerein kehte the.
[Abu Dawood: 1149, Sahih]



Eid Ki Namaz Ka Tareeqa (Lockdown Me Eid Ki Namaz Kaise Padhe)


Pehli Rakat:
1. Qiyaam
2. Takbeer-at-tehreemah (Allahu akbar)
3. Du'a-e-istiftaah (Sana)
4. 7 zayad (extra) takbeer (Allahu akbar)
5. Surah Fateha
6. Surah A'ala (87) (yaad na ho to koi bhi surah)
7. Rukuh
8. Sajdah

Dusri Rakat:
9. Sajdah se uthne ke baad 5 zayad (extra) takbeerein (Allahu akbar)
10. Surah Fateha
11. Surah Ghasiya (88) (yaad na ho to koi bhi surah)
12. Rukuh
13.Sajdah
14. Salam

Note:

1. Phli Ralat me Takbeer-at-tehreemah (Allahu akbar) aur Du'a-e-istiftaah (Sana) ke baad 7 zayad takbeerein hai fir kirat hai.
2. Dusri rakat me sajdah se uthne ke baad kirat se phle 5 zayad takbeerein hai fir kirat
3. Total 12 zayad takbeerein hai
4. Koi zikr aur rafa ul yadain Rasool Allah aur sahaba se sabit nahi hai.
[By Sheikh Shameem Salafi, Qatar]



Eid Ke Din Wapasi Par Rasta Badalna

Eid ki namaz ke liye jis raste se jaye us raste se na lautein balke dusre raste se ghar aaye. Agar koi dusra rasta na ho to use raste se laute.  

Hazrat Jabir رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai:
Jab Eid ka din hota to Rasool Allah ﷺ rasta tabdeel karte yaani ek raste se jate to wapase ke waqt dusra rasta ikhteyar karte.
[Sahih Bukhari: 986]




Eid Ki Mubarakbaad Dena


Eid ke din jab sahaba ek dusre se millte to ye dua padhte


تَقَبَّلَ اللهُ مِنَّا وَمِنكُم

Taqaballahu minna wa minkum

Allah subhanahu hamari aur aap sabki Namazon Rozo zakat aur digar sari jaani aur maali ibadato ko Qubul farmaye aur hum sabki magfirat farmaye
Aameen
[Fath-ul-Bari, 2/446]

Lekin eid mubarak kahna bhi jayz hai par upar wali dua kahna Rasool Allah ﷺ aur sahabao ki sunnat hai.

"Ya Allah, Hamare aur hamre Bhaeeyo ke jo humse pahle Imaan laye hain ke gunaah Maaf farma aur momeeno ki taraf se Hamarey Dil mein Keena (Hasad) paida na hone de, Ya Rab tu bada shafqat karne wala aur meharbaan hai."
[Surah Al hashr (59):10]



Eid Ki Namaz Ki Qaza


Agar kisi ko jamat se eid ki namaz na mile to fir do rakat padhe.

Hazrta Ataa ne kaha jab kisi ki namaz e Eid foth ho jaye to wo 2 rakat padh le.

Istarha khwateen aur wo log Jo gharon aur dehato me rahte hai wo bhi 2 rakat padhe, kun ke Rasool Allah ﷺ ka irshad e garami hai: 
"Aye Ahle Islam ye hamare Eid ka din hai."

Hazrat Anas bin Malik رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne zaweya me apne Gulam Ibn e Abe utba ko hukm diya to isne inke ghar walo aur Beto ko jama kiya phir wo shahar walo ki tarha namaz padhte aur in jaiso ki taqbeerat kahte the. Hazrat Akrama ne kaha : dehat ke log Eid me jama ho aur imam ke tarha 2 rakat padhe.
[Sahih Bukhari: 987 tafseer]



Auraton Ko Eidgaah Le Jana


Awwal to auratein eidgah me mardon ke sath namaz padhe agar aisa na ho sake to har jagah par eidgaah ka intezam hona chahiye.

Umme Atiya رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا se riwayat hai,
Hume Hukm diya Gaya hai ke hum Sabhi Aurtho ko hatta ke Haiz waaliyo aur Parda Waaliyo ko bhi Dono Eido me Gharo se Nikalen Taake wo sab Musalmaano ki Jamat Aur unki Dua me Haazir hoon.

Aur Farmaya Haiz Waaliya Jaayen aur Namaz se Alag Rahen , Lekin Musalmano ki Duaoon aur Takbeero me Shaamil Rahen , Taake Allah ki Rahmat Aur Bakshish se Hissa Paayen.

Ek Aurat ne Arz kia ke Agar hum me se kisi ke Paas Chaadar na hoo to , Farmaya “ us ko uski saath waali Awrath Chaadar odha de .
[Bukhari: 351 & Muslim: 790]


[In ahadees me bhi riwayat ki gai- Bukhari: 947, 971 & 980, Muslim 890, Abu Dawood: 1124 Tirmizi: 537, Ibn Majah: 1107, Nasai: Jild no. 3 Safa 180]



Auraton Par Eid Ki Namaz Wajib Hai Ya Nahi


Mard aur auraton sab par eid ki namaz wajib hai. Rasool Allah ﷺ hmesha eid ki namaz padhte rahe aur padhne ka huqum diya aur khawateen ko bhi eidgah jaane aur namaz me sharik hone ka hukum farmaya. Aur agar kisi wajah se na padh paye to uski qaza padhe ya tanha padhe. 

Rasool Allah ﷺ ne khawateen ko Masjid aane ki ijazat di hai aur mardo ko hukum diya hai ke wo apni biwiyon ko Masjid jane se na roke.
[Sahih Bukhari: 824]



Salat-Ul-Eid Ke Pehle Ya Baad Me Sunnat Wa Nafil


Ibne Abbas  رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai: 
Rasool Allah ﷺ Eidgaah me Siwaaye Eid ki 2 Rekaato ke na Pahle Nafal Padhe na Baad me. 
[Sahih Bukhari: 964]



Eid Aur Jumma Agar Ek Din Ho To Kya Kare


Eid aur Jumma agar ek din ho to Jo chahe wo Juma ki namaz ada kare aur Jo chahe Wo Ada na kare. Aisi soorat me use Zuhar ki namaz Ada Karni hoogi.

Abdullah bin Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai: 
Rasool Allah ﷺ ke zamane me do eidein (Eid aur Jumma) ikattha ho gai, to aap ne logon ko Eid padhai, fir farmaya jo jumma ke liye aana chahe aaye, jo na chahe na aaye.
[Ibne Majah: 1312, Sahih]

Hazrat Abu Hurairah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai: 
Rasool Allah ﷺ ne farmaya,
"Aaj ke din do eiden (eid aur juma) ikatthi ho gayi hain, jo shakhs sirf eid padhna chahe to use wah kaafi hai, lekin ham (eid aur juma) dono padhenge”
[Abu Dawood: 1070-1071, 1073]

Hazrat Abdullah bin Zubair رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke daur me Jumma ke din eid hui, to unhone namaz eid padhai Jumma na padhaya, is waqeye ki khabar Ibne Abbas رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ko mili to unhone farmaya,
"Unka ye amal sunnat ke mutabik hai”
[Sunnan Nisaai: 1593, Sahih]

Kya Lockdown Ki Wajah Se "Eid Ki Namaz" Ghar Par Padh Sakte Hain?


Majboori ki Halat me Eid ki Namaz Ghar pe padhne ke Fatawe milte hain, ki Aap Bina khutba ke Jaise Eid ki Namaz ka Tareeqa hai waise Apne Ghar par padh Sakte hain .

Imam Shafai:
Al-Muzni narrated from al-Shaafa’i (may Allah have mercy on him) in Mukhtasar al-Umm (8/125)

Hanafi:
In al-Durr al-Mukhtaar ma’a Haashiyat Ibn ‘Aabideen
(2/175 – Hanafi)

Maliki:
Al-Kharashi (Maaliki) said:- Sharh al-Kharashi (2/104).

Hanbali:
Al-Mardaawi said in al-Insaaf.


Shawwal Ke 6 Roze


Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:

"Jis ne Ramzan ke rozey rakhe aur us ke baad Shawwal ke 6 rozey bhi rakhe to ye (pura saal) musalsal (lagataar) rozey rakhne ki tarah hai."
[Sahih Muslim 1164 (27580)]

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Jis ne Ramzan ke rozey rakhe phir us ke baad Shawwal ke 6 (nafli) rozey rakhe to (un ka sawaab) har roz ke rozo ke barabar hai."
[Jami at-Tirmidhi 759 | Sahih]

Aur ye sawaab kese milega, is ke baare me Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: 

"Jis ne Eid ul Fitr ke baad 6 rozey rakhe to us ko pure saal ke rozey ka sawab milega." 
Is liye ke Allah Ta'ala farmate hain: «مَن جَآءَ بِٱلْحَسَنَةِ فَلَهُ عَشْرُ أَمْثَالِهَا» yaani "Jo ek neki karega usey dus nekiyon ka sawaab milega."
[Sunan Ibn Majah 1715 | Sahih]

Hisaab:

Ramzan ke 30 rozey
1 Roza = 10 Nekiyan to 30 Rozey = 300 Nekiyan.

Shawwal ke 6 rozey
1 Roza = 10 Nekiyan to 6 Rozey = 60 Nekiyan.
300 + 60 Nekiyan = 360 (kam se kam ek saal) Nekiyan.

NOTE: Ye rozey rakhne naa bhoolen In Sha Allah.

Post a Comment

4 Comments

  1. Hello everyone, it’s my first visit to this website, and the piece of writing is eid ul Fitr in support of me, keep up posting this content. Eid Ul Fitr Namaz Ka Tarika

    ReplyDelete
  2. Apne Eid ki Namaz ka Tarika Bahut acchi tarah se batayi apka sukuriya.

    ReplyDelete


Please do not enter any spam link in the comment box.