Zulhijah, Eid Aur Qurbani Ke Masle Masail

Zulhijah, Eid Aur Qurbani Ke Ahem Masle Masail

Sawal 1: Kin logon Ko naqun (nails) wagaira nahi kat karna chahiye?

Jawab: Jo qurbani karne ka irada karta hai, jo paise dekar janwar khareedta hai unko chahiye ke wo naqun aur Baal na kaate. Bakhi Jo ghar wale rhete wo kaat sakte.




Sawal 2: Zilhijja me zikr kaise karna hai?

Jawab: Zill hijja ke 1 Tarik se 13 Tarik ke magrib se pehele ye Padhna hai:
a. ALLAHU AKBAR
b. AL HAMDU LILLAH
c. LA ILAHA ILLALLAH 

Aur Zilhijja ke 10 se 13 tak har farz namaz ke Baad takbeeraat padhna chahiye (Allahu Akbar Allahu Akbar LAILAHAILLALLAH allahu Akbar walillahil hamd)




Sawal 3: Kya qaza roze Zilhijja ke shuru me rakhna zayez hai?

Jawab: Jayez hai.

Imam Tehmi (رَØ­ِÙ…َÙ‡ُ ٱللَّٰÙ‡ُ) khete hai ke Umar (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) ne kaha k Ramzan ke khaza roze Zilhijja me mukammal kare.




Sawal 4: Qurbani ka Jaanwar khareedne ke Baad aib daar hojaye to kya kare?

Jawab: Agar Jaanwar khareed ke bahair chhod diye, laparwahi kiye aur aibdaar hojaye to doosra Lena padhega.
Agar Jaanwar khareed k ghar par hi rakhe aur usme kuch gir kar aaib ajaye to wahi janwar ki Qurbani kar sakte hain.




Sawal 5: Kya qurbani na kare to gunah milega?

Jawab: Nahi, Gunah nahi milega. Qurbani karna wajib nahi. Jin logon ki istitat he agar wo bhi na kare to gunnah nahi hoga. 

Hazrat Abu Bakr (رضي الله عنه), Hazrat Umar (رضي الله عنه) aur Hazrat Abu Masood (رضي الله عنه) ek saal qurbani Nhi kiye. Jab unse pucha Gaya to unhon ne kaha ke kahin log Qurbani ko wajib na samajah lein.




Sawal 6: Kya qarz lekar qurbani karna jayez hai?

Jawab: Agar kisi Ko pata hai ke wo Qarz Ada kar sakta hai to Qarz lekar qurbani kar sakta hai.
Agar kisi Ko pata hai ke wo Qarz Ada Nhi karsakta to Qarz lekar qurbani Nhi karna hai.




Sawal 7: Kya bhains (Buffallo) ki qurbani jayez hai?

Jawab: Ha jayez hai kyuki ye Gayen (cow) ke khism me hi aati hai. Jaha sirf bhains​ hi milti waha bhi bhains lekar qurbani kar sakte hain.




Sawal 8: Kya ek Khandan ke janib se ek Bakra kaafi hai?

Jawab: Ha kaafi hai. Khandan chahe jitna bhi bura kyu na ho, unki bhi janib se qurbani kar sakte hain. 

Imam shaukani (رَØ­ِÙ…َÙ‡ُ ٱللَّٰÙ‡ُ) kehte hain,"100 log ho tab bhi ek baqra de to no problem
Abu Ayyub Ansari(رضي الله عنه) farmate hain ke ek khandaan ke liye ek bakra kaafi hai agar istetaat hai toh zyada bhi de saktey hai.
Aap ï·º ek Bakra lekar Unki ï·º ki janib se unki ï·º ki aal ke janib se qurbani kiye.




Sawal 9: Kya maiyyat ki janib se qurbani jayez hai?

Jawab: Mayyat ki jaanib se Qurbani ki 3 surat hai:
a) Agar maiyyat wasiyat kare to qurbani karna jayez hai.
b) Agar wasiyat na kare to mayyit k janib se ek mustaqib baqra ya koi hissa dena jayez nahi.
c) Jo qurbani deta h wo mayyit ko add kar sakta h sawab mein.




Sawal 10: Kya aurat jaanwar zibha karsakti hai?

Jawab: Ha aurat zibha karsakti hai.

"Ek aurat ne bakri patthar se zibah kar li thi to Nabi kareem (ï·º) se is baare me pucha gaya to aap ne iske khane ka huqam farmaya."
[Sahih Bukhari : 5504]




Sawal 11: Janwar me kaunsi cheez khana haraam hai?

Jawab: Baihta khoon khana haram hai.

"Beshak tum par murda jaanver bahta hua khoon or suar ka gosht or har vo cheez jis par Allah ke siva dusron ka naam pukara gaya ho haram hai."
[Surah Baqrah 2:173]





Sawal 12: Kya qurbani raat me karna jayez hai?

Jawab: Ha jayez hai Lekin Afzal ye hai ke din me qurbani kare kyu ke Aap (ï·º) din me qurbani karte the.




Sawal 13: Kya Zilhijja me ayyam e beez ka roza jayez hai ?

Jawab: Nahi, jayez nahi hai.
Ayyam e beez ke roze hadees se saabit hain, lekin zil hajj ke 11,12 aur 13 ka roza jayez nahi hai kyunki ye Ayyam e tashreeq kehlate hain.

Hazrat Ayesha (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡َا) se riwayat hai,
"Kisi ko Ayyam e tashreeq me roze rakhne ki ijazat nahi magar uske liye jise qurbani ka maqroor na ho."
[Sahih Bukhari:1998]




Sawal 14: Qurbani ka gosht kya kare?

Jawab: Qurbani ka gosht chahe toh aap poora bakra khaein lekin afzal hai ke aap bhi khaein aur ghareebon ko bhi dein.

Rasool’Allah (ï·º) ne farmaya:
"Main Pehle Tumhe Qurbani ka Gosht 3 Din se Zyada Khaane ko Manaa karta tha
Ta’aki Qurbaani Karne ki Taakat rakhne waale Unhe bhi Dein Jo Qurbani karaney ki Haisiat nahi rakhte.
To Ab Jab Tak Chaaho Khaao, Doosron ko Khilaao Aur Usme se Bachaao bhi."
[Jami At-Tirmidhi:1510]




Sawal 15:  kya qurbani ka chamda bhecna jayez hai?

Jawab: Jayez nahi hai. Masjid ya ghareebon ko de sakte hain.

Rasool’Allah (ï·º) ne farmaya:
"Qurbani ke janwaro ki har cheez gosht chamda aur jhol khairat kar do aur Qasayee (butcher) ki mazduri usmei se na do."
[Sahih Bukhari:1717]




Sawal 16: Kya aurat eid ki namaz ko ja sakti hai?

Jawab: Jasakti hai.

Umme Atiya رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡َا se riwayat hai,
Hume Hukm diya Gaya hai ke hum Sabhi Aurtho ko hatta ke Haiz waaliyo aur Parda Waaliyo ko bhi Dono Eido me Gharo se Nikalen Taake wo sab Musalmaano ki Jamat Aur unki Dua me Haazir hoon.
Aur Farmaya Haiz Waaliya Jaayen aur Namaz se Alag Rahen , Lekin Musalmano ki Duaoon aur Takbeero me Shaamil Rahen , Taake Allah ki Rahmat Aur Bakshish se Hissa Paayen.
Ek Aurat ne Arz kia ke Agar hum me se kisi ke Paas Chaadar na hoo to , Farmaya “ us ko uski saath waali Awrath Chaadar odha de .
[Bukhari: 351 & Muslim: 790]




Sawal 17: Kya Eid ki namaz ghar may padha sakte hai?

Jawab: Maujuda halaat ki wajha se (covid ki wajeh se ya jagah na mile toh) agar eidgha aur masjid me intezam na ho to ghar me eid ki namaz padh sakte hai.

Anas ( Ø±Ø¶ÙŠ الله عنه) ki jab eid ki namaz miss hogayi thi tab unhone ghar may eid ki namaz ki khaza ki.




Sawal 18: Kya bewa aurat eid ki namaz ke liye jasakti?

Jawab: Ayyaam e iddat me agar aurat hai to nahi jasakti aur agar ayyaam e iddat puri hogai ho to wo eid ki namaz ke liye jasakti hai.




Sawal 19: Eid ki takbeer me kaisi takbeer bidd'at hai??

Jawab: Sab logon ka ek hi awaz me takbeer khena bidd'at hai.




Sawal 20: Qurbani ka Kaunsa khoon Kapde me Lage to dhona laazmi hai?

Jawab: Qurbani ka khoon 2 qism ka hota hai:
a. Gosht me laga hua khoon jo ganda nahi hai.
b. Baihta hua khoon jo najis hai.
Agar Baihta hua khoon aapke pair ya kapdon me lag jaye to dhona laazim hai.
Agar sirf gosht ka khoon Laga to kuch bhi Nhi hai, Kyu ke wo paak khoon hai.




Sawal 21: Kya unth (camel) aur gaye (cow) mai hisaa lena durust hai?

Jawab: Hisaa bade janwaro mai hota hai. Jaise bail, gaye, unth, untni.

Ibne abaas ra bayan karte hai ke hum rasool saws ke sath safar mai the aur azah agaye.
To hum 7 logo ne gaye mai hisaa liya aur 10 logo ne unth mai hissa liya.
[Ibne maja, Trimidi, Nasai]





Sawal 22: Qurbani ke janwar ki umar kitne honi chahiye?


Jawab: Qurbani Ke Jaanwar Ki Umar:
a. Uonth(Camel) 5 Saal Ka.
b. Bail, Gaaye 2 Saal.
c. Bakara/Bakri Dumba-Dumbi, Bhed (Nar Va Mada) 1 Saal.
Iss Se Kam Umr Ho To Qurbani Jayez Nahi, Zyada Ho To Afzal Hai.

Rasool saws farmate hai ke:
Unth 5 saal ka ho chuka ho jo 6 saal mai dakhil ho gaya ho. Gaye, bail mai se 2 saal pure ho chuke ho aur vo 3 saal mai aa chuka ho aur bakra mai se 1 saal ka ho chuka ho aur 2 saal shuru ho gaya ho.
Aqeekha mai aise shart nahi hogi sirf qurbani ke liye hai.




Sawal 23: Qurbani ke liye mehanga janwar afzal hai ya mota taza? 

Jawab: Qurbani ke liye mota taza janwar afzal hai.

Yahiya ibne sayeed (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) bayan karte hai mai ne abu umama (رَضِÙŠَ ٱللَّٰÙ‡ُ عَÙ†ْÙ‡ُ) se suna. 
Unhone farmaya: hum madina mai apne janwaro ko mota taza karte the . Aam taur per hum musalmaano ka yahi tarikha tha.
 [Sahih Bukhari]


Isse ye maloom hota hai ke qurbani ke liye zaida afzal ye hai ke janwar mota taza ho take usmai zaida goosh nikle.



By Hafiz Abu NAsiruddin Mahmood Muhammady Naziri

Post a Comment

0 Comments