Teen (3) shaks kahi bahar ja rahe the ke achanak
barish hone lagi. Unhone ek pahadi ki gaar me ja kar panah li. Ittefaq se pahad
ki ek chattan upar se ludhki (aur us gaar ke muh ko band kar diya jisme ye tino
panah liye hue the).
Ab ek ne dusre se kaha ke apne sabse achche amal ka jo tumne kabi kiya ho, naam le kar ALLAH ta'ala se dua karo.
Phle admi ki dua:
" Aye mere ALLAH! Mere maa-baap bhot budhe the. Mai bahar
le ja kar apne mawesi (janwar) charata tha. Phir jab shaam ko wapas aata to
unka doodh nikal aur bartan me sabse pehle apne walidain ko pesh karta. Jab
mere walidain pii chukte to phir bachcho ko aur apni biwi ko pilata. Ittefaq se
ek raat wapasi me der ho gai aur jab mai ghar lauta to walidain so chuke the. Phir
maine pasand nahi kiya ke unhe jagaun, bachche mere qadmon me bhookhe pade ro
rahe the. Mai barabar doodh ka pyala liye walidain ke samne is tarha khada raha
yahan tak ke subha ho gai.
Aye ALLAH! Agar tere nazdeek bhi ye kamm maine
teri raza ke liye kiya tha, to hamare liye is chattan ko hata kar itna rasta to
bana de ke ham asmaan ko to dekh sakein."
Aur wo patthar kuch hat gaya.
Dusre Shaks ne dua ki:
Aur wo patthar do thihani hat gaya.
Tisre shaks ne dua ki:
"Aye ALLAH! Tu janta
hai ke maine ek mazdoor se ek farq jawar (millet) par kaam karaya tha. Jab
maine uski majdoori use dedi to usne lene se inkar kar diya. Maine us jawar ko
lekar bo diya. Kheti jab kati to usme itni jawar paida hui ke usse maine ek
bail aur ek charwaha kharid liya. Phir arsa baad aakar usne majdoori mangi ke
ALLAH ke bande mujhe mera haq de. Maine kaha us bail aur us charwahe ke paas
jao ke ye tumhare hi malik hain. Usne kaha ke mujhse mazaq karte ho. Maine
kaha, "Mai mazaq nahi karta" waqai ye tumhara hi hai. To aye ALLAH!
Agar tere nazdeek maine ye amal teri raza ke liye kiya tha to hamare liye rasta
bana de.
Wo gaar puri khul gai aur woh tino bahar aa gaye.
Narrated Ibn Umar
Sahih Bukhari: 2215
SABAQ:
- Allah bhot hi meharban aur reham karne wala hai. Wo tauba karne wale ke sare gunah maaf kar deta hai.
- Insan ki ki gai neyiyan kabhi zaya nahi hoti bhale hi wo kisi gair ke sath hi kyun na ki gai hon, Allah apke har nek kaam ka ajr deta hai.
- Insan Agar koi gunah karta hai chahe wo pahad ke barabar ho, aap usse dil se khuloos ke sath tauba karte hai to wo tauba qubool karta hai.
- Kisi ka maal lautana bhi ek nek amal hai jo Allah ke nazdeek pasandeeda hai.
- Is kahani se hme teen baatein pata chalti hain:
2. Dil me Allah ka kauf rakhna
3. Agar koi majdoori maaf karde or dobarah mange to use dedena bhi neki ka kaam hai.
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.