Maa ki nafarmani ki saza | ALLAH ke wali Juraij ka ibratnaak waqya

 Maa ki nafarmani ki saza: 

ALLAH ke wali Juraij ka waqya

A mother's curse | punishment of mother's disobedience |  an Israeli man Juraij | Maa ki nafarmani ki saza | ALLAH ke wali JURAIJ ka ibratnaak waqya


Juraij ek ibadatguzar aadmi the. Unhon ne nukili chhat wali ek ibadat gah bana li. 

Woh is ke andar the ke unki walidah aai or or us waqt woh namaz padh rahe the.

Unki maa ne pukar kar kaha : Juraij! 

Juraij ne kaha : mere rab ! ( ek taraf ) meri maa hai or ( dosari taraf ) meri namaz hai. Phar woh apni namaz ki taraf matojah ho gaye ormaa chali gayi.

Jab dusara din huwa to maa fir aai.

Juraij us waqt bhi namaz padh rahe the. 

Maa ne firse aawaz laagi: Aye Juraij! 

Juraij ne kaha : mere parwrdigar! ek taraf meri maa hai or dusri taraf meri namaz hai. Unhon ne namaz ki taraf tawjjah kar li.

Woh (Maa) fir chali gayi.

Phir jab agla din huwa to woh aai or aawaz di: Juraij! 

Juraij ne kaha : mere parwrdigar! meri mann hai or meri namaz hai, Phir woh apni namaz me lag gaye.

To maa ne kaha : Aye ALLAH! badkar aurton ka muh dekhane se pehle ise maut na dena. 

Bani Israil aapas me Juraij or unki ibadat guzari ka charcha karne lage.

Wahan ek badkar aurat thi jiske husan ki misal di jati thi.

Woh kahane lagi: Agar tam chaho to mai tumhari khaatir ise fitane me daal sakti hoon. Or us aurat ne apne aap ko Juraij ke samane pesh kiya.

lekin Juraij uski taraf matojah na huye. 

Woh aurat ek charwahe ke pas gayi jo ( dhoop or barsh me) Juraij ki ibadat gah ki panah liya karta tha. Us aurat ne charwa ko apne aap ko pesh kiya to usne us aurat ke sath badkari ki or woh hamila ho gayi. 

Jab us aurat ne bache ko janam diya to kaha: ya Juraij se hai. 

log Juraij ke pas aaye.

Unhe (ibadat gah se) niche aane ka kaha.

Unki ki ibadat gah dha (tod) di or unhe marna shuro kar diya. 

Juraij ne pucha: tum logon ko kiya hawa hai? 

logon ne kaha : Tam ne is badkar aurat se zina kiya hai or is ne tamahare bache ko janam diya hai. 

Juraij ne pucha: bachah kahan hai?

Woh bache ko le aaye.

Juraij ne kaha: mujhe namaz padh lene do, phir unhon ne namaz padhi, jab namaz se farig huye to bache ke pas aaye, is ke pet me ungli chubhoi,

Pucha: bache! tumahara baap kon hai. 

Bache ne jawab diya: Mera baap fala charwaha hai.

Phir wo logo ne Juraij ki taraf lapake, unhen chua or chuma (bakat haasil karne ke liye) or kaha Hum aap ki abadat gah sone ( chandi ) ki bana dete hain.

Juraij ne kaha: Nahi, ise mitti se dubarah usi tarah bana do jaisi pehle thi to unhon ne ( wese hi) kiya. 

A mother's curse | punishment of mother's disobedience |  an Israeli man Juraij

Narrated:Abu Huraira RA
Sahih Muslim: Kitab al-Birr wa al-Adab, 
Hadith No: 2550



Sabak:

Hum sab jante hain ke maa ki dua jitni raftar se asar karti hai utni hi tezi se uski bad'dua bhi lagti hai. 

Is kahani se hame malom hawa ke hame maa ki nafarmani nahi karni chahiye. aap khud soche islam me maa ka darja kitna abuland hai ke ALLAH ne uske pairon tale jannat rakh di. 

Hame apani walidah ko kabhi takeef nahi pohchani chahiye or ham kabi kisi bhi kaam me masroof ho, chahe wo kitna hi bada kam ho hame us ki baat ka jawabat dena chahiye. 

Is kahani se ya bhi patah chalta hai ki agar ham nafil namaz padh rahe hain or us duran hamari maa hme bula rahi hai to pehle hame uske sunna chahiye.



Post a Comment

0 Comments